Shair me rusva e hoti hai hone do kyu darte ho
Ek din apne pyar ka suraz nikle ga dil kehta hai

Usne jab baat karne ka lihaja badla tab ye ehsaas hua ki
ye wo lamha hai jahan rasta badalna hai

Neend Bhi Nilaam Ho Jaati Hai Baazaar e Ishq Mein
Itna Aasan Nahi Hai Kisi Ko Bhula Kar So Jaana

Mudatoon se khawish thi kisi ko toot kar chahne ki
Par afsoos chaha bhi humne aur tootey bhi hum

Talash kar meri kami ko apne dil me,
agar derd he to samajh lena k
mahobbat abhi baki he.

Dil lagi na ho jaye kisi se ye khayal rakhna
Tanha din to guzar jata hai lekin raatein maar deti hain

Tere Payar Me Doob ke Ye Makaam Mila hy Mujhe JAAN
Jise dekhoon Wo shakss Tera Haal Pochta hai mujhse

Hum ye nahi kahete k koi Tere liye dua na mange
Hum to bas itna chahte hai k Koi dua me Tujhe na Mange

Lagta h maa-baap ne bachpan me khilone nahi dilaye
Tabhi toh badi hokar pagli humare dil se hi khel gayi

Usay mein yaad aata hoon mager fursat ke lamhon mein,
Magar ye baat bhi such hai usay fursat nahi milti.

Wo Khud Par Garur Karte Hain To Isme Hairan Ki Koi Bat Nahi
Jinhe Ham Chahte Hain Wo Aam Ho Hi Nahi Sakte

Ab to ankhon me ummeed ki gunjaish bhi nazar nahi aati
Ashkon ki siyaahi se jo likhe the saare armaan humne

Ek Hi insaaN Se Ho Pyar To Dil Ko SukooN MiltA Hai
Bhatak JaatE HaiN Wo Log Jinki ChahteiN Hazaar Hoti HaiN

Na kiya kar apne dard-e-dil ko shayari main bayan
log or toot jate hain har lafz ko apni dastaan samajh ka

Mera dard kisi k hansnay ki waja zaroor ban sakta hai
Lekin meri hansi kisi k dard ki waja nhi banni chahiye