Kya zaroori hai ke hum haaren ke jeeten
Ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai

Aaj phir WO keh gaya ki mai bewafa hu
Par usne hamari deewangi dekhi hi kaha thi

Alvida hote hue unse koi nishani mangi
wo muskurakar bole judai kafi nahi hai kya

Rani nahi apne pas abhi to kya hua
ye badshah aaj bhi lakho dilo par raj karta hai

Samajaa Do Tum Apni Yaado Ko Zara
Din-Raat tang Karati Hai Mujhe Qarzdaar Ki Tarah

Aagaz e Ishq bhi Khub tha Ghalib kya kahun
Pehle to thi dil lagi phr dil ko ja lagi

Kisi k sath Piyaar Se Mazaq Zarur Karna
Magar Kabhi Kisi Se Mazaq Se Piyar na Karna

Tum apne bare mein mujhse bhi pooch sakte ho
Ye tum se kisne kaha ke aaina zarori hai

Ab tere naam se hi jaane jaate hain hum
naa jaane isey shohrat kehte hain ya badnaami

Bevafa tujse achi to meri sigar he
jo Dil ko jalati he par mere hotho ke to karib he

Bas isliye har shaks shayar nahi ban pata
Bayan e dard ka hunar kisi kisi ko aata hai

Bolu agar jhoot tu mar jayega zameer
keh doo n agar main sach to mujhe maar denge log

Kisi Ghareeb Qabeely Ki Aabroo Ki Tarha...
Hamara Dard Bhi Kisi Dard Main Shumaar Nahi

Na jaane kiske muqaddar mein wo likhi hogi
Magar ye sach hai k umeedwaar main bhi hoon

Aaj Muddat Baad Deedar-E-Yaar Hua Tha
Wohi Galiyan Wohi Raasta Jaha Mujhe Pyar Hua Tha