Silsila khayalon ka toot ta nahi goya
Zehan ke darichon mein khwab ka basera hai

Kuch Aur To Nhi Mere Garib Daaman Me
Agar Kabool Ho to Apne Labon Ki Hansi De Du

Aagaz e Ishq bhi Khub tha Ghalib kya kahun
Pehle to thi dil lagi phr dil ko ja lagi

Seeing people change isn t what hurts
What hurts is remembering who they used to be

Dard ki baarishon me hum akele hi the
Jab barsi khushiyan najane bheed kahan se aayi

Bas isliye har shaks shayar nahi ban pata
Bayan e dard ka hunar kisi kisi ko aata hai

Bolu agar jhoot tu mar jayega zameer
keh doo n agar main sach to mujhe maar denge log

Na jaane kiske muqaddar mein wo likhi hogi
Magar ye sach hai k umeedwaar main bhi hoon

Aaj Muddat Baad Deedar-E-Yaar Hua Tha
Wohi Galiyan Wohi Raasta Jaha Mujhe Pyar Hua Tha

Ek tera andaz e mohabbat jo dekh le koi
Raha na jaaye usse phir teri hasrat kiye bagai

Dekha wahi hua na bichadne par baat aa phunchi
mene tujhse kaha tha purani baat mat ka

Dum tod rahy parinde ko pani tak na diya gaya
Aur ab wo parinde ko bewafa kah rahay hain

Usne jab baat karne ka lihaja badla tab ye ehsaas hua ki
ye wo lamha hai jahan rasta badalna hai

Andheri raat mere dil ki bechaini ko kya jaane
Basi hai neend aankho n mein magar soya nahi jaata

Dil lagi na ho jaye kisi se ye khayal rakhna
Tanha din to guzar jata hai lekin raatein maar deti hain