Hamari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho; Tumhare Har Gum Ka Dard Hamara Ho; Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gum Nahi; Bas Aakhiri Waqt Saath Tumhara Ho

Tujhse Ru-b-Ru Hokar Baatein Karu; Nigahein Milakar Wafa Ke Vaade Karu; Thaam Kar Tera Hath Baith Jaun Tere Samne; Teri Haseen Surat Ke Nazare Karu

Kitna Dilkash Manzar Ho Jab Hum; Qayamat Ke Din Karein Shikwa Teri Bewafai Ka; Aur Tum Lag Ke Gale Se Mere; Dheere Se Kaho Chup Raho Khudaa Ke Liye

Ae Khuda Khushi Har Pal Unke Paas Rakhna; Mere Apno Ko Tu Kabhi Na Udaas Rakhna; Gum Na Aye Unke Paas Mere Moula; Tu Nazar-e-Karam Unpe Khaas Rakhna

Raaste Mein Pattharon Ki Kami Nahi Hai; Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai; Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki Magar; Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai

Bichre Hue Logon Pe Taras Khao Kisi Din; Aisa Ho Jaye K Na Yaad Aao Kisi Din; Sawan K Bina Jaise Ho Jati Hai Barish; Aisa Hi Mere Pas Chale Aao Kisi Din

Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri; Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri; Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna; Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri

Tum apnalo mujhe Meri aur koi tamanna nahi
Bin tere zindgi Jee pana aasan nahi
Dedo jagah mujhe apne dil me Mera aur koi ARMAAN nahi

Waqt Guzarta Raha Par Sansey Thammi Thi; Muskura Rahe The Hum Par Ankhon Mein Nami Thi; Saath Hamaare Yeh Jahaan Tha Sara; Par Na Jaane Kyun Tumhari Kami Thi

Aarzoo Ke Diye Dil Mein Jalte Rahnege; Meri Aankhon Se Ansoo Nikalte Rahenge; Dil Mein Roshni Toh Karo Tum Shama Ban Ke; Mom Bankar Hum Yunhi Pighalte Rahenge

Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai; Na Chahte Hue Bhi Pyaar Hota Hai; Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne; Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai

Ghuncha-e-Na Shagufta Ko Door Se Mat Dikha Ke Yoon; Bosa Ko Poochhta Hoon Main Munh Se Mujhe Bata Ke Yoon Ghuncha-e-Na = Show me not Shagufta = Far Bosa + Kiss

Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun; Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Lun; Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri; Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Lun

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai Use pana nahi meri taqdeer mein shayad Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai

Jee Chahta Hai Tum Se Pyaari Si Baat Ho; Haseen Chand Tare Ho Lambi Si Raat Ho; Fir Raat Bhar Yahi Guftagu Rakhe Hum Dono; Tum Meri Zindagi Ho Tum Meri Kayanat Ho