Yaqeen Mohkam Amal Peham Mohabbat Faateh-e-Alam; Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain Translation: Firm certainty eternal action the love that conquers the world These are the swords of men in the holy war of life

hum apna status dîlo pr update krte
hai.. Facebook pr nahi... Kyunki
humare attitude ko smjne k liye
Experience chahiye Qualification
nahi...!!

Zindgi ne sawalat badal dale
Waqt ne halat badal dale
Hum to aaj bhi wahi hai jo kal the
Bas logo ne apne khayalat badal dale

Rahi Taleem Mashriq Mein Na Maghrib Mein Rahi Ghairat; Yeh Jitney Parhty Jatey Hain Jahalat Barhti Jati Hai

Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai; Arzoo Kisiki Aur Bandgi Kisiki

Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Shan-e-Beniazi; Tum Maangte Phiro Ge Apna Ghuroor Hum Se

Ye Taraqqi Ka Zamana Hai Tere Aashiq Par; Ungliyan Uthti Thi Ab Hath Utha Karte Hain

Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor; Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu

Teri Khaamosh Mijaji Mujhe Jeene Nahi Degi; Iss Daur Mein Jeena Hai To Kohraam Macha De

Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata Hoon; Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana

Kisi Faqeer Ki Jholi Mein Jab Maine Ek Sikka Dala; Tab Yeh Jaana Ke Iss Mehangayi Ke Zamaane Mein; Dua en Aaj Bhi Kitni Sasti Hein

Aaj Bhi Kahi Sawal Hai Is Dil Me, Pyar Ka Gum Bemisal Hai Is Dil Me, Kuch Keh Nh Pata Ye Dil Magar, Kisi Dil Ke Liye Bahut Pyar Hai Is Dil Me.

Apne Qadmon Ke Nishan Mere Raste Se Hata De Qaasid; Kahin Ye Na Ho Ki Mein Chalte-Chalte Phir Tere Pass Aa Jaun

Pal Pal Sunhare Phool Khile; Kabhi Na Ho Kaanton Ka Saamna; Zindagi Aapki Khushiyon Se Bhari Rahe; Dipawali Par Hamaari Yahi Shubhkaamna

Abhi Mujhko Nahi Karna Hai Aitraaf-E-Shikast; Main Sab Tasleem Kar Lunga Ye Charcha Aam Hone Do; Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nai Sakta; Wafaaen Bech Lena Per Zara Neelam Hone Do