Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand; Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein Translation: Why today so disgraced when yesterday was impermissible An angel s arrogant refusal to bow for me

Tanhaiyon Ka Ek Alag Hi Maza Hai; Iss Mein Dar Nahi Hota Kisi Ke Chhor Jaane Ka

Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai; Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain

Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath; Tum Bhi Chale-Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale

Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto; Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi

Khwahishon Ko Jeb Me Rakh Kar Nikla Kijiye Janaab; Kharcha Bahot Hota Hai Manzilon Ko Paane Mein

Hathoon Key Lakiroon Pay Matt Jaa Ae Ghalib; Naseeb Unkay Bhi Hotay Hain Jinkaay Haath Nahi Hotay

Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee; Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai

Masjid Khuda Ka Ghar Hai 894; Peene Ki Jagha Nahin 894; Kaafir Ke Dil Mein Ja 894; Wahan Khudaa Nahin

Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein Yakeenan; Aab Woh Mujhe Andaaz Se Nahi Andaaze Se Pehchante Hai

Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta; Ki Main Khud Bhi To Hoon Iqbal Apne Nukta-Cheeno Mein

Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer; Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee Shagufta = Flourished

Main Nahin Maanta Kagaz Pe Likha Shajra-e-Nassb; Baat Karne Se Qabeele Ka Pata Chalta Hai Translation: Shajra-e-Nassb = Family Tree

Yeh Ajab Soorat-e-Haal Huyi Jati Hai; Raat Ke Baad Yahan Raat Huyi Jati Hai; Woh To Ab Bhi Mukammal Hai Kisi Pathar Ki Tarah; Raizaa Raizaa To Meri Zaat Huyi Jati Hai

Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai De; Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai De; Sajda Jahan Kare Waha Qaba Dikhai De; Uthe Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai De