Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki…

Jhooti Tasaliyon Ki Zaroorat Nahi Mujhe
Keh Do K Mere Liye Fursat Nahi Tujhe
Ye Bhi Nahi K Main Tumhein Ilzaam De Sakoon
Ye Bhi Nahi K Tum Se Shikayat Nahi Mujhe
Main Bhi Tumhari Yaad Ko Dil Se Bhula To Doon
Par Kya Karoon K Be-Wafai Ki Ijazat Nahi Mujhe

Yeh DiL Hi Jaanta Hai Meri Paak Mohabbat Ka Aalam, Tanya

Ki Mujhe Jeene Ke Liye Saanso Ki Nahi Teri Zarurat Hai

Dhoka diya tha jab tum ne mujhe Dil se main naraaz tha, Phir socha ki
dil se tumhe nikal dun Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha

Kahan Se Laun Hunar Use Manane Ki
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka
Mohabbat Mein Saza Mujhe Hi Milni Thi
Kyuki Jurm Maine Kiya Us se Dil Lagane Ka

Teri Bewafai Ko Bhula Na Sake GeinChahein Bhi To Kabhi Muskura Na Sake GeinTujhko To Mil Gaya Yaar ApnaApna Hum Kisi Ko Bana Na Sake Gein

Bewafa Sanam Ka Paygam AayaHume Bhool Jane Ka Sandesha LayaDil Ke Ujale Mein Kuch Andhera Sa ChayaBaat Nikli Jab Pyaar Ki To Baat Baat Par Rona Aaya

Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi; Jis Raat Rukhsat Unki Barat Hogi; Uth Jaate Hai Yeh Soch Kar Neend Se Aksar; K Kisi Gair Ki Bahon Mein Hamari Saari Kainat Hogi

Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,Use Mera ya Mujhe Uska Karde.Bahut Dukh Sahe Hain Maine,Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,Judai Ke Safar Ko Kum Karde.Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,Use Utna Kareeb Karde.Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde..

Dil Ko Pathar Hue Ik Zamana HuaIs Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai

Dosto Mile Agar MerI Humdum To UsSe Sirf Itna Keh Dena
Bina Teri Mohabbat Ke Woh Pagal Jee Nahin Sakta

Tamannao me Uljhaya Gaya hoon
khilone de k behlaya gaya hoon
Kafan me kyun na Jaun muh chupa k
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon

Hum Ruth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha
Door Jaye To BuLane Ka Wada Kiya Tha
Aaj PaLko Pe Aanshu Bhar Diye Usne
Jisne Zindgi Bhar Hasane Ka Wada Kiya Tha

Mat Puch Mere Sabr Ki Inteha Kaha Tak Hai
Tu Sitam Kar Teri Takat Jaha Tak Hai
Mujhe Meri Wafa Ki Ummid Puri Hai
Mujhe To Ye Dekhna Hai Ki Tu Bewafa Kaha Tak Hai

Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah; Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna