Dilme Me Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi TiktiKab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe MukhtiZindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon KaKisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti

Badala na apne aap ko jo the vahi rahemilate rahe sabhi se magar ajanabi raheduniya na jit pao to haro na khud ko tumthodi bahut to zahan mai narazagi raheapani tarah sabhi ko kisi ke talash thihum jisake bhi qarib rahe dur hi raheguzaro jo bag se to dua mangate chalojisamen khile hain phul wo dali hari rahe

Os pade bahar par aag lage kanar meintum jo nahi kanar mein lutf hi kya bahar meinus pe kare khuda raham gardish-e-rozagar meinapni talash chodakar jo hai talash-e-yar meinhum kaheen janevale hain daman-e-ishq chodakarzist tere huzur men, maut tere dayar meinPoet of the poem� or Ghazal or Nazam :Jigar Moradabadi

Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saamna Acha LagaSub Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha LagaSurmayi Ankhon K Neechay Phool Se Khilnay LagayKehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha LagaBaat Tau Kuch B Nahi Thi Laikin Is Ka Aik DumHaat Ko Honton Pe Rakh K Rokna Acha LagaDil Main Kitnay Ahad Bandhay Thay Bhoolnay K UsayWo Mila Tau Sub Iraday Torna Acha Laga

Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahiraharau hoga kaheen aur chala jayegadhal chuki raat bikharne laga taron ka gubarladakhadane lage aewanon mein khwabida chiragso gai rasta tak tak ke har ek rahaguzarajanabi khak ne dhundala diye qadmon ke suraggul karo shamen bada do mai-o-mina-o-ayagapne bekhwab kiwadon ko muqaffal kar loab yahan koi nahin, koi nahi aayega

Sun Lii Jo Khudaa Ne Vo Duaa Tum To NahiiN Ho?Daravaaze Pe Dastak Kii Sadaa Tum To NahiiN Ho?Simatii HuIi SharmaaIi HuIi Raat Kii Raanii?SoIi HuIi KaliyoN Kii Hayaa Tum To NahiiN Ho?Mahasuus Kiyaa Tum Ko To Giilii HuIi PalkeN?Bhiige Huye Mausam Kii Adaa Tum To NahiiN Ho?In Ajanabii RaahoN MeN NahiiN KoIi Bhii Meraa?Kis Ne Mujhe YuuN Apanaa Kahaa Tum To NahiiN Ho?

Ek Ajnabi Se Hamein MOHABBAT Hogayi HaiYe Zindagi Hamari Mukammal Hogayi HaiSochte Hain Wo Chehra Kaisa HogaJis Se Hamein CHAHAT Hogayi HaiJab Leti Hoon Naam,Ye Saansein Mehek Uthti HainAb Ye Saansein Bhi Meri Us Ki Hogayi HainUs Ka Yun Rooz Meri Neendon Mein Chale AanaMere Sapnon Ki Duniya Ab Roshan Hogayi HaiDhadak Uthta Hai Dil Jab Mehsoos Karti Hain AankheinAisa Lagta Hai Ye Dhadkan Bhi Us Ke Naam Hogayi HaiUsee Hi Sochte Sochte Guzarti Hai Ab Ye Ratein MeriMeri Ratein Bhi Ab Mere Sanam Ke Hawale Hogayi Hain