Bahut Sahi Gam-e-Geti Bahut Sahi Gam-e-Geti Sharab Kam Kya Hai; Gulam-e-Saqi-e-Kausar Hun Mujhko Gam Kya Hai; Tumhari Tarz-o-Rawish Jante Hain Ham Kya Hai; Raqib Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai; Sukhan Mein Khama-e-Galib Ki Atashfashani; Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Mein Dam Kya Hai

Aadmi Aadmi Ko Aadmi Aadmi Ko Kya Dega; Jo Bhi Dega Wohi Khuda Dega; Mera Qatil Hi Mera Munsib Hai; Kya Mere Haq Mein Faisala Dega; Zindagi Ko Qarib Se Dekho; Isaka Chehara Tumhen Rula Dega; Hamase Pucho Dosti Ka Sila; Dushmanon Ka Bhi Dil Hila Dega; Ishq Ka Zahar Pi Liya `Fakir`; Ab Masiha Bhi Kya Dava Dega

Mere Dil Ke Shaam Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho; Ik Baar Kaho Tum Mere Ho; Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De; Kyun Itnay Ghoor Andheray Ho; Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki; Tum Mere Rain Basairay Ho; Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka; Tum Daaku Chor Lutairay Ho; Kuch Bolo Ya Aazaad Karo; Kyun Khamooshi Se Ghairay Ho

Jag Mein Aakar Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha; Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha; Jaan Se Ho Gaye Badan Khali; Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha; Nala Fariyad Aah Aur Zaree; Aap Se Ho Saka So Kar Dekha; Un Labon Ne Kee Na Maseehayi; Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha; Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi; Dard Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha

Dard Se Mera Daman Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah; Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah; Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange; Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah; Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke; Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah; Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De; Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah

Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain; Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena; Ro-Ro Ke Guzari Hai Humne; Tum Hans Ke Guzara Kar Lena; Betabi Had Se Badh Jaye; Aur Nind Na Aaye Raaton Ko; To Doob Ke Meri Yaadon Main; Duniya Se Kinara Kar Lena; Jis Waqt Janaza Guzrega; Us Shaks Ka Tere Kooche Se; Jazbat Pe Kabu Kar Lena; Khidki Se Nazara Kar Lena

Rakshas Tha Na Rakshas Tha Na Khuda Tha Pehle; Aadmi Kitna Bada Tha Pehle; Aasmaan Khet Samandar Sab Laal; Khoon Kagaz Pe Uga Tha Pehle; Main Wo Maqtool Jo Qatil Na Bana; Haath Mera Bhi Utha Tha Pehle; Ab Kisi Se Bhi Shikayat Na Rahi; Jane Kis-Kis Se Gila Tha Pehle; Shehar To Baad Mein Veeran Hua; Mera Ghar Khaak Hua Tha Pehle

Zindgi Is Tarah Zindgi Is Tarah Guzarate Hain; Karz Hai Aur Use Utarate Hain; Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain; Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain; Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka; Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain; Kitne Dil Is Mein Goondh Lete Hain; Zulf-e-Khugar Ko Jab Sanwarte Hain; Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana; Pesh-e-Fateh Bhi Log Haarte Hain

Apni Pyari Aankhon Mein Apni Pyari Aankhon Mein Chupa Lo Mujh Ko; Mohabbat Tum Se Hai Chura Lo Mujh Ko; Dhup Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum; Yaqeen Na Ho To Aazma Lo Mujh Ko; Tere Har Dukh Ko Seh Lenge Hans Ke Hum; Apne Wazood Kee Chadar Bana Lo Mujh Ko; Zindagi Bhi Tere Naam Kar Di Hai Humne; Bas Chand Lamhe Seene Se Laga Lo Mujh Ko

Ah Ko Chahiye Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak; Kaun Jita Hai Teri Zulf K Sar Hone Tak; Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sadkam-e-Nahang; Dekhen Kya Guzare Hai Qatre Pe Gauhar Hone Tak; Ashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betab; Dil Ka Kya Rang Karun Khun-e-Jigar Hone Tak; Ham Ne Mana K Taaful Na Karoge Lekin; Khak Ho Jayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Tere Ishq Ki Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun; Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun; Sitam Ho K Ho Wada-e-Behijabi; Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun; Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko; K Main Ap Ka Samna Chahta Hun; Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-e-Mahfil; Chirag-e-Sahar Hun Bujha Chahta Hun; Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di; Bara Be-Adab Hun Saza Chahta Hun

Bohat Aaraam Bohat Aaraam Karna Chahti Hun; Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun; Shaoor-E-Aagahi Ek Almiaa Hai; Ise Neelaam Karna Chahti Hun; Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay; Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun; Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar; Mein Subaah-O-Shaam Karna Chahti Hun; Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai; Ise Naakaam Karna Chahti Hun

Sun To Sahi Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasana Kya; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-E-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mehmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya

Dukh Day Kar Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho; Tum Bhi Ghalib Kamaal Kartay Ho; Dekh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa; Chalo Kuch Tou Khayaal Kartay Ho; Shehar -e- Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi; Ye Bhi Mujh Say Sawaal Kartay Ho; Marnaa Chaahain Toh Mar Nahe Saktay; Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho; Aab Kiss Kis Ki Misaal Doon Tum Ko; Her Sitam Bay-Misaal Kartay Ho

Sun To Sahi Jahaan Mein Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasanaa Kyaa; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Jeena Saba Dhundti Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-e-Buland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mehman Sara-e-Jism Ka Hoga Ravanaa Kya