Aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen humaati nahi kaheen se dil-e-zinda ke sadasune pade hain kucha-o-bazar ishq kehai shama-e-anjuman ka naya husn-e-jan gudazshayad nahi rahe wo patangon ke valvaletaza na rakh sakegi rivayat-e-dasht-o-darwo fitnasar gaye jinhen kanten aziz theab kuch nahi to nind se aankhen jalayen humaao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen humsocha na tha ki aayega ye din bhi phir kabhiik bar hum mile hain zara muskura to lainkya jane ab na ulfat-e-derina yad aayeis husn-e-ikhtiyar pe aankhen jhuka to lainbarasa labon se phul teri umr ho darazsanbhale hue to hain par zara dagamaga to lain

Sadagi par us ke mar jane ke hasrat dil mein haibas nahi chalata ki phir khanjar kaf-e-qatil mein haidekhana taqarir ke lazzat ki jo usane kahamainne yah jana ki goya yah bhi mere dil mein haigarache hai kis kis burai se wale ba in hamazikr mera mujh se behatar hai ki us mahafil mein haibas hujum-e-na umidi khak mein mil jayagiyah jo ik lazzat hamari sai-e-behasil mein hairanj-e-rah kyon khenchiye vamandagi ko ishq haiuth nahi sakata hamara jo qadam manzil mein haijalva zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahifitana-e-shor-e-qayamat kis ke aab-o-gil mein haihai dil-e-shorida-e-galib tilism-e-pech-o-tabraham kar apni tamanna par ki kis mushkil mein haiPoet of the Ghazal or Nazam : Mirza Ghali

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Waheen Khiltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha ThaTumhain Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aayee HaiBahra-E-No Jo Aayee Hai, Wohi Khushbo Bhi Layee HaiTumharay Lab Meri Khater Hiltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tumhi Miltay Tu Acha ThaMila Hai Lutf Bhi Ham Ko Haseen Yaadoon Ki Jhilmal MainKati Hai Zindagitum Bin, Mager Kami Si Hai Dil MainAger Aatay Tu Acha Tha, Ager Miltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha ThaKoi Aa Ker Humain Poochay Tumhain Kaisay Bhulaya HaiTumharay Khat Ko Ashkoon Se Shab-E-Gham Main Jalaya HaiHazaroon Gham Aisay Hi, Ager Miltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Hum Ne Chaha Hai Tum Hi Miltay Tu Acha Tha

Tujhi se ibtada hai tu hi ik din intaha hogasada-e-saz hogi aur na saz-e-besada hogahamen malum hai hum se suno mahashar mein kya hogasab us ko dekhte honge wo hamako dekhata hogasar-e-mahashar hum aise aasiyon ka aur kya hogadar-e-jannat na va hoga dar-e-rahamat to va hogajahannum ho ki jannat jo bhi hoga faisala hogaye kya kam hai hamara aur us ka samana hoganigah-e-qahar par hi jan-o-dil sab khoye baitha hainigah-e-mehar aashiq par agar hogi to kya hogaye mana bhej dega hum ko mahashar se jahannum meinmagar jo dil pe guzaregi wo dil hi janata hogasamajhata kya hai tu divanagana-e-ishq ko zahidye ho jayenge jis janib usi janib khuda hoga“jigar” ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazaratshikayat ho ki shikwa jo bhi hoga baramala hoga

Bhool Chuka Hoon Apni Daastaan Zara Phir Se KehnaAai Kis Tarah Gulshan Mein Khizan Zara Phir Se KehnaSirnigoon Hona Wo Ghunchon Ka Ab Tak Yaad HyKiya Qissa Tha Khoonchikan Zara Phir Se KehnaQadam Kabhi Iss Tarah Dagmagaae To Na Thay KabhiSimat Kiyun Raha Hy Jahan Zara Phir Se KehnaDil Jo Dharakta Tha Mari Yaad K Saayon TalayHuwa Kaisay Jazbon Se Anjaan Zara Phir Se KehnaYoon To Her Sham Ko Pegham-E Subah Diya Tu NeTaareek Sa Kiyun Lagta Hy Samaan Zara Phir Se KehnaTaqdeer Ki Laghzish Thi K Nafas Parasti Ka JanoonAjnabi Sa Tha Andaz-E Biyaan Zara Phir Se KehnaTaray Labon Pe Machalti Hui Khamosh Si JunmbishKiyun Na Kahaun Lafzon Ka Ziyan Zara Phir Se KehnaMuskrahaton Mein Jhalaktay Huway Ashak Kiy MaaniKoi To Ho Ga Iss Mein Raaz Pinhaan Zara Phir Se KehnaZindagi Ki Veeran Raahon Mein Aaey Gi BaharKiya Tera Bhi Hy Ye Emaan Zara Phir Se KehnaArmaanon Ki Chita Jalanay Se Kiya Haasil ZaidiHuwa Hy Aub Ye Raaz Nihaan Zara Phir Se Kehna..

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta HoonYeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke LiyeYeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur HaiMain Tanha Gunahgar To NahiTu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil HaiJahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil HaiDuniya bhar ki khushiyan hamare saath chaliQadam mila ke jo hamare saath aap chaliHaath deewane ke de allah kuch aisi qalam,Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar haiDil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chiragMana key in ki roshni tum par ayaan nahiNa tum bewafa ho, na hum bewafa thayMagar kya karain apni rahain juda hainSaamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaaJitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaaMohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana haiWafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana haiHai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshiKis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye hoDil ki bechaen umangon pe karam farmaaoItna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogiRaat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte HaiAur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai