Magrabi Hawa Phir Se ChaleeZahar-E-Gham Ka Nasha Honae Laga

Har Thkaan Ka Fareb Hai ManzilChalne Walon Ko Rasta Hi Mila

Gham Nahi Sota Aadmi Ki TarahNeend Mein Bhi Ye Jaagta Hi Mila

Hum Dono Ki Khoob NibhegiMain Bhi Dhukhi Hoon Voh Bhi Dukhi Hai

Tanhaiyon Ki Aag Main Hum Jal Gaye,Magar Faasla Ana Ka Mitaya Na Jaa Saka.

Zakhmo Se Choor Choor Tha Yeh Dil Mera,Ek Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka,

Kabhi To Sham Dhale Apne Ghar Gaye HoteKisi Ki Aankh Mein Rehkar Sanvar Gaye Hote

Tumhare Bhi Dil Me Humare Liye Kahin Pyar Hai ShayadWarna Tumhari Ankhen Yun Na Roti Hum Se Juda Hote Huay

Woh Juda Bhi Kaisay HuwaMain Koi Rasm Bhi Na Nibha SakaWoh Hansi Hansi Mein Hi Chala GayaMein Hath Tak Na Hila Saka

Mat Khao Kasame Sari Zindagi Sath Nibhane Ki…….Hum Ne Sanso Ko Bhi Juda Hote Dekha Hai………

Agar Zindagi Mein Judai Na HotiTo Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na HotiSath Hi Guzarta Har Lamha ToShayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti

Hum Ne Chaha Bohat Per Izhar Kar Na SakeKat Gai Umar Per Pyar Kar Na SakeUsne Mangi Bhi To Humse Judai MangiAur Hum The Ke Inkar Kar Na Sake

Kitna Bhi Chaho Na Bhool Paoge HumeJitni Door Jaoge Nazdik Paoge HumeMita Sakte Ho To Mita Do Yaaden MeriMagar Kya Sanso Se Juda Kar Paoge Hume

Logo Ki Nigaho Se Dard Chupana Padta HaiHume To Gham Mein Bhi Muskurana Padta HaiHum Bhi Kuch Lagte Hain UnkeYe Bhi Ab Unhe Yaad Dilana Padta Hai.

Zindagi Jab Bhi Apna Pata Deti HaiIsme Kitna Gham Hai Bata Deti HaiBhool Kar Bhi Kabhi Apno Ko Na KhonaKyu Ki Yehi Wo Baat Hai Jo Aksar Rula Deti Hai.