Shaam Rangeen Apni Hoti ThiJab Woh Mera Naseeb Hoti ThiMast Jhonke Saba Ke Hote TheChaandni Bhi Kareeb Hoti ThiChaand Taaron Ki Bheed Me KhokarKaifiyat Ek Ajeeb Hoti ThiRaat Deepawali Se Kam Na ThiDin Hamare Bhi Eid Hoti ThiHusn Aur Ishq Ki Adawat MeinNa Koi Haar Na Hi Jeet Hoti ThiDoor Hote Toh Band Aankhon SeEk Dooje Ki Deed Hoti ThiQuais-O-Laila Se Hum Mamasil TheAisi Chaahat Ki Reet Hoti ThiJiski Hasti Hamari Jannat ThiMah-e-Rukh Ek Haseen Hoti Thi

Tumhain Maloom Hai Ham NeKisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari HaiHar Ik Khusboo Ki Aahat PerGuman Us Ka Guzarta HaiHar Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata HaiKai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko PhelaieDuain Mangti Aur HanptiDil Se Guzarti HainMagar Jo Hijar Lahaq HaiWo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata HaiUmeedo Beem Ki Aankhon SeBeenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata HaiSo Ham Bhi Khak HainAur Khak Ki Qismat Main Likha Gia HaiBe-Aman Rehna

Kismat Pe Naaz Karun Ya Rab Ka Shukr ManaunIs Udaas Zindgi Mein Jo Fir Tujhe Ek Baar Paaun.Tujhse Milne Ki Khushi Mein Ye Haal Hai MeraRuh Ke Pairhan* Ko Teri Yaadon Se Mahkaaun.Jab Se Tune Vaada Kiya Hai Milne Ka,Veeraan Ghar Ko Bahaar Ke Phulon Se Sajaun.Dil Jo Har Waqt Rota Tha Apni Bebasi Mein,Sahme, Zakhmi Dil Pe Wafa Ke Marham Lagaun.Aaj Dil Ne Bhi Mahsus Kiya Hai Jaane Tamanna,Tere Naam Ke Aage Se Bewafaai Ka Daag Mitaaun.Ummeed Ki Ek Chingari Jo Bhej Di Hai Tune,Kyon Na Is Andhiyare Dil Pe Main Bhi Ek Deep Jalaaun.Kaafi Hai Itna Intezaar ‘Shoaib’ Bas Thoda Aur Sahi,Unki Aankhon Se Bhi Piyenge Abhi Ashqon Se Hi Dil Bahlaaun

Ab Ke Baar Phir Ye Saal BadlaPhir Waqt Ka Khad-O-Khaal BadlaImtehaan-E-Zeest Ka Sawaal BadlaAur Andaz Lamhon Ka Kamaal BadlaLekin Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora HaiSab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa HaiHaan Woh Adhoora Sa Ik KhawaabHaan Woh Adhoora Sa Ik IzteraabHaan Woh Adhoora Sa Ik HisaadHaan Woh Adhoora Sa Ik JawaabHaan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora HaiSab Saman-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa HaiDil Ke Aaiina-Khaney Ki Adhaori TasveerTaqdeer Ki Kitaab Ki Woh Adhoori TehreerKisi Dil Ki Basti Mein Ik Adhoori JaageerKismet Ke Haathon Per Ik Adhoori LakeerHaan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora HaiSab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai