Phuuloon Kii Aarazuu Mein Bare Zakhm Khaaye HainLekin Chaman Ke Khaar Bhii Ab Tak Paraaye Hain

Ae Mere Hamnasheen Chal Aur KahinIs Chaman Ab Apna Gujara NahinBaat Hoti Gulon Tak To Seh Lete HumAb To Kanto Pe Bhi Haq Hamara Nahin

Bewafaa Voh Nahi Hum Hi Kharab TheZeher Ki Zarurat Nahi Mar Jayenge Shrab SeKaante Mehsus Hi Nahi Hue KyonkiPyar Hi Itna Tha Uss Gulab Se

Ek Dil Mere Dil Ko Zakham De GayaZindagi Bhar Jeenay Ki Kasam De GayaLakhon Mein Se Ek Phool Chuna HamneJo Kaanton Se Bhi Gehri Chubhan De Gaya

Jo Teer Bhi Aata Vo Khaali Nahi JaataMaayoos Mere Dar Se Savaali Nahi JaataAre Kaante Hi Kiya Karate Hain Phoolon Ki HifaazatPhoolon Ko Bachane Koi Maali Nahi Jaata.

Lafzon Mein Fasaane Dhoondte Hai Hum Log,Lamhon Mein Zamaane Dhoondte Hai Hum Log,Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi,Jeene Ke Bahaane Dhoondte Hai Hum Log,Har Zakhm Ko Seene Pe Saja Lete Hai,Har Dard Ko Hum Dil Mein Basa Lete Hai,Tum Phoolon Pe Sote Ho To Dukhta Hai Badan,Hum Kaanto Ko Aankhon Se Laga Lete Hai..!!!

Br-e-Bahar NePhool Ka ChehraApne Banafshi Hath Main Le KarAise ChoomaPhoolk Sare DukhKhushboo Ban Kar Beh Nikle

Sari Umer Me Ek Pal B Aram Ka Na ThaWo Jo Dil Mila Kisi Kam Ka Na ThaKaliya Khil Rai Thi Har Gul Tha TazaMagar Koi Bhi Phool Mere Nam Ka Na Tha

Tumhari Is Ada Ka Kya Jawaab DuApna Dost Ko Uphaar Kya DuKoi Acchha Sa Phool Hota Toh Mali Se Mangva LeteJo Khud Gulaab Ho., Usko Kya Gulaab Du

Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhna,Subha Hone Ko Hai Mauhaul Banaye Rakhna,Kaun Jane Wo Kiss Gali Se Guzre,Har Gali Ko Phoolo Se Sajaye Rakhna!

Khushboo Ki Aarzoo Me Muqadder B Soo GayAandhi Chali Kuch Asi K Apny B Khoo GayKya Tha Tumhara Ye Andaaz DostoonHamdrd Bankr Aay Thy Kanty Chuboo Gaay

Aisa Dikhai Dena Hazaron Ke DarmyanSajta Hay Chand Jaise Sitaron Ke DarmyanLogo Ke Beech Rah Ke Bhi Rehna Yun MunfaridJaise Ghulab Hota Hay Kanton Ke Darmyn

Gham Hay Itna Kay Dil-E-Zaar Pay Qaaboo Bhi NahiZabt Yeh Hay Kay Kahein Aankh May Aansu Bhi NahiKya Mayray Ehed May Badli Hay Gulistaan Ki HawaRang Kaysa Kay Kisi Phool May Khushboo Bhi Nahi

Chand se phul se ya meri zuban se suniyehar taraf aap ka qisa jahan se suniyesab ko aata hai duniya ko sata kar jinazindagi kya muhabbat ke dua se suniyemeri aavaz parda mere chehare kamain hun khamosh jahan mujhako vahan se suniyekya zaruri hai ki har parda uthaya jayemere halat apne apne makan se suniyePoet of the poem or ghazal or nazam : Nida Fazli

Bat phoolon ke suna karate thehum kabhi sher kaha karate themashalen leke tumhare gam kehum andheron mein chala karate theab kahan aisi tabiyat valechot kha kar jo dua karate thetark-e-ehasas-e-muhabbat mushkilhan magar ahal-e-vafa karate thebikhari bikhari zulfon valeqafile rok liya karate theaj gulshan mein shaguf-e-sagarshikave bad-e-saba se karate the