Ada Labon Se Dil Ki Baat Ho Jane DoQabool Aaj Dil Ki Ibadat Ho Jane DoTanha Chal Rahe Ho Dasht E Zeest MeinDo Pal Mujhko Zara Saath Ho Jane Do…

Ae Khuda Hamari Tar Ha Unko Tanhai Na De,Hum Ji Lenge Tanha Magar Unko Judai Na De,Hamari Nigaho Me Basi Rahe Unki SuratUnko Bhale Hi Hum Dikhai Na De

Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska ThaEk Main Akela Tha, Kafila Bi Uska ThaSath-Sath Chalne Ki Soch Bi Uski ThiFir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane KoChale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane KoChalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara KoiTo Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

Mehkti Hui Sard Raaton K San’naton Me,Kanpte Paton Ki Halki Halki Sarsarahton Me,Mujhe Apna Wajood Bhi Aadhaa Sa Laga,Tere Baghair,Is Lamhe Me Ne Jana K,Meri Saari Khushian Bhi Adhoori Hen,Tere Baghair..!!

Kuchh Log Zamane Mein…Kuchh Log Zamane Me Aise Bhi To Hote Hein,Jo Batein Nahi Karte Hein Nashtar Se Chubhote Hein.Jinke Liye Hum Raton Ko Uth-Uth Ke Rote Hein,Woh Apne Sabista* Mein Aaram Se Sote Hein.Is Baat Ka Rona Hai, Is Baat Ko Rote Hein,Kashti Ke Mutahit* Hee Kashti Ko Dubote Hein.Diwano Kee Basti Ka Andaz Nirala Hei,Hanste Hein To Hanste Hein, Rote Hein To Rote Hein.* Sabista – Aaramgah ( Bister)* Mutahit – Mallah

Main Hun Aur Mere SaathSirf Meri Tanhai HaiPahle Saaya Tha Mera Mere SaathAaj Kal Wo Bhi Harjaai HaiJaane Kyon, Kaise Aaj Phir Se MeriMujhko Maazi Satane Aai HaiDard-e-Tanhai SeJab Choor Hua Jaata HoonSaari Duniya SeBahut Door Hua Jaata HoonPhir Bhi Jeene KoJo Majboor Hua Jaata HoonAisi Haalat MePareshan Dil Ko BahlanePurane Zakhmon KoAansuon Me NehlaneShab Ki Tanhai MeMain Chhat Pe Chala Aata HoonApni Khamosh Shikayat KoSunaane Ke LiyeChaand Ko Apna Haal-e-DilBataane Ke LiyeApni Aankhon Ka Luhoo UskoDikhane Ke LiyeSaath Apne UseKutch Deir Rulaane Ke LiyeChaand Ko BhiMeri Haalat Se Pareshani HaiUski Bhi ApniMohabbat Ki Ek Kahani HaiChot Meri Tarah Wo Khaya HaiDaagh Seene Me Jab Hi Paaya HaiBhool Jaayen Chalo Muhabbat MeinDard Kisko Hai Kisko TanhaiWaqt Ab Hai Teri Judaai KaAansuon Mein Teri Widayee KaChun Ke Aankhon Se Mere Ashkon KoThapkiyan De Ke Meri Palkon KoMeri Kismet Per Ro Ke Jaata HaiJaate Jaate Wo Apne Askhon SeSaari Dharti Bhigo Ke Jaata HaiEk Subah Phir Nayee Si Aati HaiThodi Ummeed Saath Laati HaiShaam Hote Hi Saath “ASIF” KeAa Gai Phir Wohi Dilnasheen Tanhai HaiMain Hun Aur Mere SaathSirf Meri Tanhai HaiSirf Meri Tanhai HaiSirf Meri Tanhai Hai…………

Dil Par Likha Tha Jiska Naam Humne Bade Pyar SeKaise Rooh Us Se Juda Ho Gayi

Us Nay Is Kadar Tanha Kar Diya Mujh KoKay Ab Kise Ko Bhee Tanha Dekha Nahin Ja Ta

Ab Bhi Yoon Milte Hain Humse Phool Chameli KeJaise Inse Apna Koi Rishta Lagta Hai

Pyaas Jis Nehr Se Takrayi Vo Banjar NikliJisko Piche Kahi Chor Aaye Vo Dariya Hoga

Ek Mehfil Mein Kayi Mehfilein Hoti Hain ShareekJisko Bhi Pass Se Dekhoge Akela Hoga

Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar AayaKia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!

Aisa Bhi Ik Rang Hai Jo Karta Hai Baatein BhiJo Bhi Isko Pehan Le Vo Apna Sa Lagta Hai

Fursat Ki Shaam Dil Ki Uddasi Tumhari YaadTanhai Mein Bhi Kitna Bada Kaarvaan Hai Saath