Zakham Dainay Ka Andaz Kuch Aisa Hai,Zakham Day Ker Pochtay Hain Ab Haal Kaisa Hai?Kisi Aik Say Gila Kiya Karna Yaaro,Saari Duniya Ka Mizaaj Aik Jaisa Hai

Humari Aankhoon Mei Ansoo Ho To Kya Ho?Woh Hum Se Khafa Ho Jayen To Kya Ho?Hum Duniya Waloon Se Chup To Nahi SakteMagar Apne Hi Zakhm Dein To Kya Ho?

Ek Din Mere Dil Ko Jalan Dey Gaya..Zindagi Mujhe Jeene Ka Kafan Dey Gaya..Lakhon Pholo Mai Se Ek Phol Chuna Humne..Jo Kanton Se Gehri Chuban Dey Gaya..

Tere Paas Aane Ko Jee Chahta HaiNaye Zakhm Khaanay Ko Jee Chahta HaiIder Aaye Shayed Woh Moj-E-TarannumGhazal Gungunane Ko Jee Chahta HaiZamana Mera Aazmaya Hua HaiTujhe Aazmane Ko Jee Chahta HaiWohi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi HaiJise Bhool Jane Ko Jee Chahta HaiLaboun Per Mere Khelta Hai TabassumJab Aansoo Bahane Ko Jee Chahta HaiKayi Martuba Dil Pe Bijli Giri HaiMagar Muskurane Ko Jee Chahta HaiRukh-E-Zindagi Se Nikab Ulat KerHakeekat Dikhane Ko Jee Chahta Hai.

Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa Waqt Aya HaiZakhm Iss Dil Ka Zubaan Par Aaya HaiNahi Rote The Hum Kanton Ki Chubhan SeAaj Phoolo Ki Chubhan Ne Hume Rulaya Hai

Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi HaiYahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi HaiPehli Si Mohabbat Mere Se Na MaangMere Paas Bas Ab Zakham Aur Roosvai Hai

Wo Hamen Bhool Bhi Jayen To Koi Gum Nahi Hai,Jana Unka Jaan Jane Se Km Nahi Hai,Jane Kaise Zakham Diye Hain Usne Is Dil Ko???K Jiske Liye Sb Vaid Kehte Hain Ki Koi Marham Nahi Hai..

Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarahmera vajud hai jalate hue makan ke tarahbhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magarsaba ne gaye hain lori shafiq man ke tarahwo kon tha jo barahana badan chattanon selipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarahsakut-e-dil to jazira hai barf ka lekintera khulus hai suraj ke sayeban ke tarahmain ik khwab sahi aap ke amanat hunmujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarahkabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha bulandjo bich gaya tere qadmon mein aasman ke tarahbula raha hai mujhe phir kisi badan ka basantguzar na jaye ye rut bhi kaheen khizan ke tarahlahu hai nisf sadi ka jis ke aabagine meinna dekh “prem” use chashm-e-argavan ke tarah

Bagair Jane Pahechane Ikrar Na KijiyeMuskura Kar Diloko Bekrar Na KijiyePhool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi KabhiHar Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye

Bagair Jane Pehchane Ikrar Na Kijiye,Muskurakar Dilko Bekarar Na Kijiye,Phool Bhi De Jaate Hai Zakham Gehra Kabhi Kabhi,Har Phool Pe Yun Aitbaar Na Kijiye…

Hum to chalte hain lo khuda hafizbutkada ka buton khuda hafizkar chuke tum nasihaten hum kojao bas naseho khuda hafizaj kuch aur tarah par un kesunate hain guftagu khuda hafizbar yahi hai hamesha zakhm pe zakhmdil ka charagaron khuda hafizaj hai kuch ziyada betabidil-e-betab ko khuda hafizkyon hifazat hum aur ke dhundhenhar nafas jab ki hai khuda hafizchahe rukhsat ho rah-e-ishq mein aqlae “zafar” jane do khuda hafiz

Main Zakhm Zakhm Hoon Ja Kar Miloon Kis SayNamak Say Tar Kapray Yahan Sab Pehnay Hue Hen

Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek Bad-E-Bahar SeKahi Barg Barg Namu Mili, Kahi Zakhm Zakhm Hara Huwa

Hadse Ban Kay Log Yahan Mila Kartain HainZakam Dekay Kaam Kiya Kartay HainRoz Gir Jati Hai Devar Teri Yaadon KiRoz Hum Maut Kay Saaye Mein Raha Kartay Hain

Wo Tu Khushboo Hai Huwaoon Mein Bikher Jaeay GaMasla Phool Ka Hai Phool Kidher Jaeay GaHum Tu Samjhay Thay Ik Zakhum Hai Bher Jaeay GaKya Khaber The Rugh E Jaan Mein Utter Jaeay Ga