Ajeeb Bebasi Ka Mausam Hai Dil Ke Aangan Mein Faraz ; Taras Gaye Hain Tere Sath Guftgu Ke Liye

Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe; Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang

Hazaar Chehron Main Uski Muhabatain Milien Mujhko; Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin

Baag ki har kali khushbu de apko Suraj ki har kiran nai subah de apko Hum to kuch dene ke kabil nahi hain

Tere Ikhtiyar Main Kya Nahin Mujhe Is Tarah Se Nawaaz De; Yun Duaein Meri Qubul Ho Ki Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho

Har baar hawao ko ilzaam dena thik nahi yaaro
kabhi sochna kahi chiraag kud na thak gaya ho jalte jalte

Teri Subah Ki Angraian Jaaga Deti Hain Laakhon Armaan; Hote Hain Hum Neend Mein Lekin Bandhan Ki Umeed Rakhte Hein

Na Main Pass Usko Bula Saka; Na Main Dil Ki Baat Suna Saka; Wo Hansi-Hansi Main Hi Chal Diye; Aur Main Haath Tak Na Hila Saka

Pariyon Se Sunder Hai Mehbooba Meri; Paakar Use Khud Par Naaz Karta Hun; Har Janam Mein Bas Usi Ka Banna Hai; Ye Elaan Sareaam Karta Hun

Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein Daaman; Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan; Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyun Hai

Apne gamo ki yu numaish na kar Apne nasib ki yu aazmaish na kar Jo tera hai tere dar pe khud ayega Roz roz use pane ki khwaish na ka

Toot jaate hain sabhi rishte magar Dil se dil ka raabta apni jagah Dil ko hai tujh se na milne ka yakeen Tujh se milne ki dua apni jagah

Mere Wajod Me Kash Tu utar Jaye; Mai Dekhu Aaina Or Tu Nazar Aye; Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye; Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar Jaye

Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho Mujhe maut ka dar na hoga Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho

Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen; Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen; Yoonhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara; Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo