Wo jo mere dard ko apna dard kahta haiHans k zakhm jo mere apni jaa’n pe sahta haiAjnabi hua hai tu kitne dard degayaNind khwab legaya ..aah-e-sard degayaJubse usko paaya tha dard main kami thi kuchAnkh num tu thi lekin thori kum nami thi kuchMeri zaat ke sub ghum usko apne lagte thayUske lahje ke mosam jese sapne lagte thayShaam hote hi meri yaad ke daricho’n mainDard ki tapish uski sath sath ati thiOr us se milte hi phir se laut jati thiIs guma’n pe ke shayad ab nahi hun main tanhaSath hai kisi ka ab mere safar main pinha .Par hamari qisamt main DARD hi mashiyat haiDard hi ta’assur hai .. dard hi waseeyat haiDard orhna apna..dard hi bichona haiDard hi pe hansna hai. dard hi pe rona hai ..!!bheeg jayen jab ankhain phir unhain chupana haiDard sahtay rahna hai .. OR ISI DARD K GALAY LAG KAIK DIN MAR JANA HAI.!!!!

Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,Bass chandd hee dino ke thay dere chale gaye,Khana –badosh log savere chale gaye,Haath mein apne jaal sunehri liye hue,Gehre samundron ke machhere chale gaye,Kuchh maikade kee sammat gaye jhoomte hue,Kuchh manchale faqeer ke dere chale gaye,Pehle se abb kahan woh mohabbat ke roz-o-shab,Shaamein chali gayi who savere chale gaye,Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,Jo loot-te thay din ka saqoon raat ka qraar,Kis desh ko woh haseen lutere chale gayeDukh hai dard hai toh dawaa hai dosti,iss ghutan bhari zindagi ki haseen fiza hai dosti.jo na samjhe uske liye kuch nahi,jo samjhe uske liye khuda hai dostiFriendship doesn’t needany promises any terms or conditions.it just need two wonderful people ..