Khushbu Ki Tarah Aaya Vo Tez Hawaon MeinManga Tha Jise Humne Din-Raat Duaon MeinTum Chhat Pe Nahi Aaye Main Bhi Ghar Se Nahi NiklaYe Chand Bahut Bhatka Sawan Ki Ghataon MeinEk Shaher Mein Ek Ladki Bilkul Hai Ghazal JaisiBijli Si Ghataon Mein Khushbu Si Hawaon MeinMausam Ka Ishara Hai Khush Rehne Do Dilon KoMasoom Mohabbat Hai Phoolon Ki Khataon MeinHum Chand Sitaron Ki Rahon Ke Musafir HainHar Raat Chamakte Hain Andheri Khalaon* Mein

Mauj-e-gul, mauj-e-saba, mauj-e-sahar lagti haisar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti haihum ne har gham sajdon e jalaye hain chiragab teri rahaguzar rahaguzar lagti hailamhe lamhe basi hai teri yadon ke mahakaj ke raat to khushbu ka safar lagti haijal gaya apna nasheman to koi baat nahidekhana ye hai ki ab aag kidhar lagti haisari duniya mein garibon ka lahu bahata haihar zamin mujhko mere khoon se tar lagti haivaqya shahar mein kal to koi aisa na huaye to “akhtar” ke daftar ke khabar lagti hai

Sada Deti Hai Khushbu Chand Tare Bol Padate HainNazar Jaisi Nazar Ho To Nazare Bol Padte HainTumhari Hi Nigahon Ne Kha Hai Hum Se Yeh AksarTumhare Jism Par To Rang Sare Bol Padte HainMehak Jate Hain Gul Jaise Saba Ke Chuum Lene SeAgar Laharen Mukhatib Ho Kinare Bol Padte HainZuban Se Baat Karne Mein Jha Rusvai Hoti HaiWha Khamosh Ankhon Ke Ishare Bol Padte HainChupana Chahte Hain Un Se Dil Ka Haal Hum LekinHamare Ansuon Mein Gum Hamare Bol Padte HainTeri Pabandiyon Se Ruk Nhi Sakti Yeh FariyadenAgar Hum Chup Rahe To Zakhm Sare Bol Padte Hain !

Chandni Raat K Hathon Pay Sawar Utri HaiKoi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri HaiIs Main Kuch Rang Bhi Hain Khuwab Bhi Mehkar Bhi HaiJhilmilati Hui Khawish Bhi Inkaar Bhi HaiIsi Khushboo Main Kayi Dard Bhi Afsanay BhiIsi Khushboo Nay Banaye Kayi Dewanay BhiIsi Khushboo Say Kisi Yaad K Der Khultay HainMeray Pairon Say Jo Liptay To Safar Khultay HainYahi Khushboo Jo Mujhey Ghar Say Utha Layi ThiAb Kisi Tor Palat Ker Nahi Janay DetiMeri Delhiz Bulati Hai Mujhey Loot AaoYahi Khushboo Mujhey Wapis Nahi Aanay DetiRanj Or Dard Main Doobi Bahar Utri HaiKoi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai

Bechain baharon mein kya-kya hai jan ke khushbu aati haijo phul mahakata hai usase tufan ke khushbu aati haikal rat dikha ke khvab-e-tarab so sej ko suna chod gayahar silavat se phir aj usi mehaman ke khushbu aati haitalkin-e-ibadat ke hai mujhe yun teri muqaddas aankhon nemandir ke darichon se jaise loban ke khushbu aati haikuch aur bhi sansen lene par majabur-sa main ho jata hunjab itane bade jangal mein kisi insan ke khushbu aati haikuch tu hi mujhe ab samajha de ae kufr duhai hai teriq shekh ke daman se mujhako iman ke khushbu aati haidarta hun kaheen is aalam mein jine se na munakir ho jaunahabab ke baton se mujhako ehasan ke khushbu aati hai

Teri khushbu ka pata karati haimujh pe ehsaan hawa karati haishab ke tanhai mein ab to aksarguftagu tujh se raha karati haidil ko us reh pe chalana hi nahijo mujhe tujh se juda karati haizindagi meri thi lekin ab totere kahane mein raha karati haius ne dekha hi nahi warna ye aankhdil ka ehaval kaha karati haibeniyaz-e-kaf-e-dariya angushtret par naam likha karati haisham padate hi kisi shakhs ke yaadkucha-e-jan mein sada karati haimujh se bhi us ka hai vaisa hi sulukhal jo tera ana??? karati haidukh hua karta hai kuch aur bayanbaat kuch aur hua karati haiabr barase to inayat us keshakh to sirf dua karati haimasala jab bhi utha chiragon kafaisala sirf hawa karati hai

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma BankerHum Say Har shaam Mili Hai Tera Chehra BankerChand Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah PhoolMehkay Hain Teri Zulf Ka Saya BankerMeri Jaagi Huey Raaton Ko Usi Ki Hai TalashSo Raha Hai Meri Aankhon Main Jo Sapna BankerDil K Kaghaz Par Utarta Hai Tu Sheron Ki TarhanMeray Hontoon Pay Machalta Hai Tu Naghma BankerRaat Bhi Aye Tu Bujhti Nahin Chehray Ki ChamakRooh Main Phail Giya Hai Woh Ujala BankerMera Kia Haal Hai Yeh A K Kabhi Dekh Tu LayJee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada BankerDhoop Main Khoo Gaya Woh Haath Chura KarGhar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya BankerKabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma BankerHum Say Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Banke

Khushbu Ki MuskurahatHar Mulaqat Mein Nagahein Yahi Faryad Karti Hain,Ke Kisi Pal Palat Kar Dekhne Ko Jee Chahta Hai,Woh Tou Hamein Dekh Kar Andekha Kar Jati Hai,Ke Us Ki Nazron Mein Reh Jaane Ko Jee Chahta Hai,Woh Kya Samjhe Gi Hamari Mohabbat Ko,Woh Tou Khoyi Hai Kisi Aur Ki Mohabbat Mein,Ke Us Ki Mohabbat Mein Kho Jaane Ko Jee Chahata Hai,Teri Khushbu Ne Bohat Rang De Diye Mujhe,Ke Ab Us Ke Rangon Mein Rang Jaane Ko Jee Chahta Hai,Ulajh Chuka Hoon Iss Uljhe Hue Waqt Ko Suljhane Mein,Ke Ab Teri Uljhi Zulfon Ko Suljanhe Ko Jee Chahta Hai,Fanah Ho Chuke Hain Teri Mohabbat Mein,Ke Ab Shayari Mein Izhaar Karne Ko Jee Chahta Hai,Khwahish Hai Aazmane Ki Tou Jaan Hi Mang Lou,Ke Ab Use Apna Banane Ko Jee Chahta Hai,Na Kabhi Khatam Kar Sakein Ge Yeh Shayari,Ke Khushbu Ko Shayari Mein Wapas Lane Ko Jee Chahta Hai?