Har Taraf Noor Hai Khushboo HaiTeri Ankhon Mei Kaisa Jadu HaiSari Duniya Hai Meri Jholi MeiOur Duniya Meri Bus Tu Hai

Phoolon Se KhushbooKhushboo Mein TumZindagi Hai Saanson MeinSaanson Mein Ho Tum

Teri Yaadon Ki Khushboo Dhadkano Mein Raks Karti Hai,Tere Gam Mein Sulagta Hoon Ke Aankhein Bheeg Jaati Hai,Main Hanske Jhel Laata Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein,Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hai…

Rangat Teri Zulfo Ki Ghatao Ne ChuraiKhusboo Tere Anchal Se Hawao Ne UdaiPaimane Ka Dil Na Tut Jaye To Kahu MainHai Cheez Gazab Ki Jo Nigaho Ne Pilai

Meri Khushbu Tumhein Kho Legi Gulabo Ki TarahTum Agar Khud Se Na Bolo Ge To Yaad AaongaSard Raato Ke Mahkte Huey Sanato MeinJab Kisi Phool Ko Chumoge To Yaad Aaonga

Tujhe Pane Ki Khwaish Me Duba Armaan Hu MaiTere Jivan Me Aaya Aisa Mehmaan Hu MaiTu Khud Nahi Janti Koun Hai Tu ?Teri Ruh Ki Khushbu Teri Pahchaan Hu MaiNahi Kahta Hu Kabhi Tujhse Juda Rah PaongaDe Duniya Gam Mujhe Hazar Mai Sah JaongaNa Dunga Ek Aansu Bhi Tujhe Jindagi Bhar HansaoungaTeri Aan Khon Ki Chamak Tere Chahre Ki Shan Hu MaiTeri Ruh Ki Khushbu ………………!Teri Mithi Si Ye Boli Jo Mera Naam Leti HaiJaise Har Din Ko Apni Aagosh Me Har Shaam Leti HaiTabhi Ugta Hai Ye Suraj Jo Palken Ye Uthti HaiTere Pairon Ki Payal Me Basi Ek Jaan Hu MaiTere Ruh Ki Khushbu ………………!Kabhi Jo Sans Tu Leti Hai Mera Hi Naam Aata HaiBarasta Hai Jo Mujhpe Julf Ka Badal Batata HaiJo Raton Ko Terra Daman Mujhe Itna Satata HaiTere Sine Ki Hu Dhadkan Tera Imaan Hu MaiTere Ruh Ki Khushbu ………………!

Bas Gayi Hai Ye Mere Ahsaas Main Kaisi MahakKoi Khushboo Main Lagaoon Teri Khushboo Aaye

Teri Zulf Nahi Jo Khul Kar Bikhar Jayu Ga MainMaut Aayegi To Ek Din Ek Phul Se Mar Jayu Ga MainGam-E-Zindgi Mein Khuch Kadam Sath Chal Kar To DekhPhool Ban Kar Teri Raho Me Bikhar Jayuga Main

Nazar se durr hai fir bhi fiza mein shamil hai,Kisi ke pyar ki khushboo hawa mein shamil hai….Mein chah kar bhi tere paas aa nahi sakta,Ke durr rehna bhi meri wafa mein shamil hai….Khazane gum ke mere dil mein dafan hai yaaro,Ye muskurana toh meri ada mein shamil hai….Khuda kare ki ye usko kabhi pata na chale,Ki bebasi bhi humari raza mein shamil hai….Toofan mein humko chor ke jaane ka shukriya,Khairsigali meri urdu zuban mein shamil hai….Tere suluk ne jeena sikha diya lekin,Tere bagair ye jeena saza mein shamil hai….

Har Saans Jeene Ke Lie Bani HaiHar Dhadkan Me Khudaai Hi Khili HaiShikwe Shikayat Karen Bhi To Kisse KarenHume Apne Aayine Ki Bhi To Padi HaiGile Kahne Se Bhi Aakhir Kya MilegaHar Ghadi Khuda Ke Mutabik Chal Rahi HaiPhool Hai Zindagi Ek Aisa Jiski Ye KhasiyatJitna Ikhlaaq Baanto Uski Khusbu Aur Badhti Hai

Lakhon shaklon ke mele mein tanha rahana mera kambhes badal kar dekhte rahana tez hawaon ka koharamek taraf aavaz ka suraj ek taraf ik gungi shamek taraf jismon ke khushbu ek taraf is ka anjamban gaya qatil mere liye to apni hi nazron ka damsab se bada hai naam khuda ka us ke bad hai mera naam

Mausam ko isharon se bula q nahi leterutha hai agar wo to mana q nahi letedivana tumhara koi gair nahi haimachala bhi to sine se laga q nahi letekhat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jalakartanhai ko rangin bana q nahi letetum jag rahe ho mujh ko acha nahi lagatachupke se meri neend chura q nahi lete

Sath Chalte Ja Rahe Hain Paas Aa Sakte NahiIk Nadi Ke Do Kinaro Ko Mila Sakte NahiDene Wale Ne Diya Sab Kuch Ajab Andaaz SeSaamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte NahiUski Bhi Majbooriyan Hain, Meri Bhi MajbooriyanRoz Milte Hain Magar Ghar Mein Bata Sakte NahiUski Yaadon Se Mehkane Lagta Hai Sara BadanPyar Ki Khushboo Ko Seene Mein Chupa Sakte Nahi

Nikal Aaye Idhar Janab KahanRaat Ke Vaqt Aaftab KahanMeri Aakhein Kisi Ke Aansoo HainVarna In Pathron Mein Aab KahanSeb Khile Hain Kisi Ke Gaalon PerIs Baras Bagh Mein Gulab KahanMere Hothon Pe Teri Khushboo HaiChhoo Sakegi Inhe Sharab Kahan

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayegaMasala phul ka hai phul kidhar jayegaHam to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayegaKya khabar thi ke rag e jan may utar jayegaWo hawaon ki tarah khanabajan phirata haiEk jhonka hai jo ayega guzar jayegaWo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liyeMausam e gul mere angan may thahar jayegaAkhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogiTera ye pyar bhi dariya hai utar jayega