Mal-e-soz-e-gam hae! nihani dekhte jaobhadak uthi hai shamma-e-zindagani dekhte jaochale bhi aao wo hai qabr-e-fani dekhte jaotum apne marane wale ke nishani dekhte jaoabhi kya hai kisi din khoon rulayega ye khamoshizuban-e-hal ki jadd-o-bayani dekhte jaogarur-e-husn ka sadaqa koi jata hai duniya sekisi ke khak mein milati javani dekhte jaoudhar muh pher kar kya zibah karte ho, idhar dekho!meri gardan pe khanjar ke ravani dekhte jaobahar-e-zindagi ka lutf dekha hai aur dekhogekisi ka aish marg-e-nagahani dekhte jaosune jate na the tum se mere din raat ke shikavekafan sarakao meri be-zubani dekhte jaowo utha shor-e-matam aakhari didar-e-mayyat parab utha chahate hain nash-e-fani dekhte jao

Kaheen chat thi divar-o-dar the kaheenmila mujhko ghar ka pata der sediya to bahut zindagi ne mujhemagar jo diya wo diya der sehua na koi kam mamul seguzri shab-o-roz kuch is tarahkabhi chand chamaka galat waqt parkabhi ghar mein suraj uga der sekabhi ruk gaye reh mein besababkabhi waqt se pahale ghir aayi shabhuye band daravaze khul khul ke sabjahan bhi gaya main gaya der seye sab ittifaqat ka khel haiyahi hai judai yahi mel haimain mud mud ke dekha kiya dur takbani wo khamoshi sada der sesaja din bhi raushan hui raat bhibhare jam laharai barsat bhirahe sath kuch aise halat bhijo hona tha jaldi hua der sebhatakati rahi yun hi har bandagimili na kaheen se koi roshnichupa tha kaheen bheed mein aadmihua mujh mein raushan khuda der se

Ishq lamahadud jab tak rahanuma hota nahizindagi se zindagi ka haq ada hota nahiis se bad kar dost koi dusara hota nahisab juda ho jayen lekin gham juda hota nahibekaran hota nahi be-inteha hota nahiqatara jab tak bad ke qulzam aashna hota nahizindagi ik hadasa hai aur aisa hadasamaut se bhi khatm jis ka silasila hota nahidard se mamur hoti ja rahi hai qayanatik dil-e-insan magar dard aashna hota nahiis maqam-e-qurb tak ab ishq pahuncha hai jahandida-o-dil ka bhi aksar vasta hota nahiALLAH ALLAH ye kamal-e-irtabat-e-husn-o-ishqfasale hon lakh dil se dil juda hota nahiwaqt aata hai ik aisa bhi sar-e-bazm-e-jamalsamane hote hain wo aur samana hota nahikya qayamat hai ke is daur-e-taraqqi mein “jigar”aadmi se aadmi ka haq ada hota nahi

Tohamaten chand apne zimme dhar chalejis liye aaye the so hum kar chalezindagi hai ya koi tufan haihum to is jine ke hathon mar chalekya hamen kam is gulon se ae sabaek dam aaye idhar udhar chaledosto dekha tamasha yan ka sabtum raho khush hum to apne ghar chaleaah bas jee mat jala tab janiyejab koi afsun tera us par chaleshama ke manind hum is bazm meinchashm-nam aaye the daman-tar chaledhundhate hain aap se usako pareshekh sahib chod ghar bahar chalehum jahan mein aaye the tanhavalesath apne ab use lekar chalejun sharar ae hasti-e-bebud yanbare hum bhi apni bari bhar chaleek main dil resh hun vaisa hi dostzakhm kitanon ka suna hai bhar chalehum na jane paye bahar aap sewo bhi aade aa gaya jidhar chalesaqiya yan lag raha hai chal chalaojab talak bas chal sake sagar chale“dard” kuch malum hai ye log sabkis taraf se aaye the kidhar chale