Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate HainTaarikiyo’n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati HaiSehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati HaiAksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti HaiKyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti HaIshaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate HainInn Waadiyo’n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati HoonYe Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate HainSehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke NeecheYe Aasmaa’n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa’n Giraate HainShaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Aaiye hath uthayen hum bhihum jinhen rasm-e-dua yaad nahihum jinhen soz-e-mohabbat ke siwakoi but, koi khuda yaad nahiaaiye arz guzaren ki nigar-e-hastizahar-e-imaroz mein shirini-e-fardan bhar dewo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahiunaki palkon pe shab-o-roz ko halka kar dejinaki aankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahiunaki raton mein koi shama munawwar kar dejinake qadmon ko kisi rah ka sahara bhi nahiunaki nazron pe koi rah ujagar kar dejinaka din pairavi-e-kazbo-riya hai unkohimmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq milejinake sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unkodast-e-qatil ko jhatak dene ke taufiq mileishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis seaj iqarar karen aur tapish mit jayeharf-e-haq dil mein khatakata hai jo kante ke tarahaj izahar karen or khalish mit jaye

Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki SafeerDhuaan Dhuaan Si Theen Sochon Main Janay Kab Se AseerThay Us K Hoonton K Taalay Bhi Zang AaloodaUsay Youn Daikh K Lagta Tha Jaisay Ik BachaGaya Tha Daikhnay Maila Kisi Ka Thaam K HaathNa Janay Bheer Main Tanha Woh Reh Gaya KaisayMujhay Woh Phool Laga Ik Gulab Ka Jis KoKisi Ne Shakh Se Tora Mager Nahi SonghaKhud Apnay Pairon K Neechay Masal Masal DaalaSawal Us Se Kia Main Ne, Yeh Batao ZaraHo Kon, Kis Liay Is Qadar Khamosh Ho Bhala?Batao Khaar Ugaye Hain Kis Ne Raahon Main?Nami Khafi Se Hai Kaisi Tumhari Aankhon MainMeri Tarah Se Kaheen Tum Bhi Tu Nahi Tanha?Rah-E-Wafa Main Mili Tu Nahi Tumhain Bhi Dagha?Woh Chup Raha, Nahi Bola Tu Main Ne Berh K UsayChuwa Tu Yeh Howa Idraak Meray Saamnay TuHai Aik Aayeena Aur Us Main Aks Hai Mera

Kash main tere hasin hath ka kangan hotatu bade pyar se bade chao se bade araman ke sathapni nazuk si kalai mein chadhati mujh koaur betabi se furqat ke khizan lamhon meintu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh komain tere hath ke khushbu se mahak sa jatajab kabhi mud mein aa kar mujhe chuma karatitere honton ke shiddat se main dahak sa jataraat ko jab bhi tu nindon ke safar par jatimarmari hath ka ik takiya banaya karatimain tere kan se lag kar kai baten kartateri zulfon ko tere gal ko chuma kartajab bhi tu band qaba kholane lagti jananapni aankhon ko tere husn se khera kartamujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nashamain teri ruh ke gulashan mein mahakata rehtamain tere jism ke aangan mein khanakata rehtakuch nahi to yahi benam sa bandhan hotakash main tere hasin hath ka kangan hota

 Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?Main To Bus Khamosh Sa Sha‘IrUlfat Chahat Ke Rango SeDil Ki Khali Tasveero MeKoi Mohabbat Likh Deta Hoon ?Aur Kabhi Deewar Se LagkarKoi Mohabbat Ro Deta Hoon ?Aur Kabhi Aankho Aankho MeinSaari Baatein Keh Jata Hoon ?.Main To Ek Khamosh Sa Sha‘IrMujhko Baatein Kab Aati Hain ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???Mere Sapne Tod Kar Jaati ???Kiya Meri Aankho Mein Dukh KeItne Aansoo Dekh Sakti Thi ???Mera Kul Sarmaya Tha JoKiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToMain Bhi Tumse Woh Sab KehtaJo Tum Sunne Ki Khwahish MeinSaare Raaste Bhool Aayi HoSaare Rishte Bhool Aayi HoMain Thera Khamosh Sa Sha‘IrMujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Bhi Mere Khwab SajaatiYoon Na Tanha Chhor Kar JaatiKaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Har ek baat pe kahate ho tum ki tu kya haitumhin kaho ke ye andaz-e-guftagu kya haina shole mein ye karishma na barq mein ye adakoi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya haiye rashk hai ki wo hota hai hamasukhan hum sevagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya haichipak raha hai badan par lahu se pairahanhamari jeb ko an hajat-e-rafu kya haijala hia jism jahan dil bhi jal gaya hogakuredate ho jo ab rakh justaju kya hairagon mein daudate phirane ke hum nahi qayaljab aankh hi se na tapaka to phir lahu kya haiwo cheez jisake liye hamako ho bahisht azizsivae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya haipiyun sharab agar khum bhi dekh lun do charye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hairahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhito kis umeed pe kahiye ke aarzoo kya haibana hai shah ka musahib, phire hai itaratavagarna shahar mein “ghalib” ke aabaru kya hai

Apni soi hui duniya ko jaga lun to chalunapne gamkhane mein ik dhum macha lun to chalunaur ik jam-e-may-e-talkh chadha lun to chalunabhi chalata hun zara khud ko sambhalun to chalunjane kab pi thi abhi tak hai may-e-gam ka khumardhundhala dhundhala sa nazar aata hai jahan-e-bedaraandhiyan chalati hain duniya hui jati hai gubaraankh to mal lun zara hosh mein aa lun to chalunwo mera sahir wo ejaz kahan hai lanameri khoi hui aavaz kahan hai lanamera tuta hua wo saz kahan hai lanaik zara geet bhi is saz pe ga lun to chalunmain thaka hara tha itane mein jo aaye badalkisi matavale ne chupke se badha di botaluff wo rangin pur-asarar khayalon ke mahalaise do char mahal aur bana lun to chalunmeri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka gururmere honton ko abhi tak hai sadaqat ka gururmere mathe pe abhi tak hai sharafat ka gururaise vahamon se bhi ab khud ko nikalun to chalun

Teri Aankhon Main, Mere Dil Ka Nakhsa Ho Bhi Sakta HaiJise Deewar Samgha Hai Wuh, Wuh Rasta Ho Bhi Sakta HaiZamana Gour Se Daikhey, Jisey Is Ne Khuda Samjha HaiWoh Is K Hath Ka Pather Tarasha Ho Bhi Sakta HaiNazur Se Door Re Ker Bhi, Kisi Soch Main RehnaKisi K Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta HaiWoh Apni Sard Mehri Se, Mughey Hud Main To Rakhta HaiMera Hud Se Guzurney Ka Irada Ho Bhi Sakta HaiBhari Duniya Ka Meila Sath Ho To Koun Si MushkilMager Aik Shakhs Meley Main Akela Ho Bhi Sakta HaiYe Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye HoYe Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta HaiMain Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Daikh Ker SamjhaNibhana Ho Jisey Mushkil Woh Rishta Ho Bhi Sakta HaiUchalta, Thokarain Khata Howa Paani Ka Aik DharaaTere Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta HaiNikal Ker Bund Kamrey Se Zara Baazar Main AaoAger Tum Daikhna Chaho, Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

Suna Hai Log Use Aank Bhar Ke Dakte HeinSo Us Ke Shehar Mein Kuch Din Tehar Ke Dakte HeinSuna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashme Naaz UskiSo Hum B Us Ki Gali Se Guzar Ke Dakte HeinSuna Hai Usko B Hai Sher-O-Shayari Se SharafSo Hum Mojzay Apne Hunar Ke Dakte HeinSuna Hai Bolay To Baaton Se Phol Jarte HeinYeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dakte HeinSuna Raat Ko Use Chand Takta Rehta HaiSitare Baam-E-Falak Se Utar Ke Dakte HeinSuna Hai Din Ko Use Titliyan Satati HaiSuna Hai Raat Ko Jugno Tehar Ke Dakte HeinSuna Hai Uski Siah Chashmagi Qayamat HaiSo Usko Sorma Farosh Aah Bhar Ke Dakte HeinSuna Hai Ayena Thamsal Hai Jabin UskiJo Saada Dil Hein Use Bansawar Ke Dakte HeinSuna Hai Uski Badan Ki Tarash A C HaiKe Phool Apne Qabahe Qatar Ke Dakte HeinRuke To Gardeshe Uska Tawaf Karti HainChale To Ose Zamane Tehar Ke Dakte HeinKise Naseeb Ke Bepairahan Ose DakheKabhi Kabhie Daro Deewar Ghar Ke Dakte HeinKahaniyan He Sahi Sub Mubaalge He SahiAgar Wo Khuwaab Hai To Tabeer Kar Ke Dakte HeinAb Us Ke Shehar Mein Tehre Ke Khooj Kar JaeFARAZ Aao Sitaare Safar Ke Dakte Hein