Pani Aankh Mein Bhar Kar Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai; Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai; Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat; Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai; Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien; Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai; Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon; Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai; Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav; Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai; Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi Tabish ; Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login