mujhe aarzoo e sehr rahi
yunhi raat bhar bari daer tak
na bikhar saka na simat saka
yunhi raat bhar bari daer tak
tha bohat azaab aur akele hum
shab e gham b meri taweel tak
rahii zindagi bhi saraab aur
rahi aankh tar bari daer tak...
yahan har taraf hai ajab samaa
sabhi khud pasand sabhi khud numa
dil e be-qaraar ko na mil sakaa
koi chaaraa ghar bari daer tak
mujhe zindagi hai azeeztar
isi waaste mere hum-safar
mujhe qatra qatra pila zehr
jo kare asar bari dair tak

Your Comment Comment Head Icon

Login