Hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa saketumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula saketum hi na sun sake agar, qissa-e-gam sunega konkis ke zuban khulegi phir, hum na agar suna sakehosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the humbazm ka rang dekh kar sar na magar utha sakeshauq-e-visal hai yahan, lab pe saval hai yahankis ke majal hai yahan, hum se nazar mila sakeraunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahindil mein shikayaten rahin lab na magar hila sakeaisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sakesun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sakeahal-e-zaban to hain bahut koi nahi hai ahal-e-dilkon teri tarah “hafeez” dard ke geet ga sake

Your Comment Comment Head Icon

Login