Ja kahiyo un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri neend gaitumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri neend gaina haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai miltakahan ja ke dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri neend gaiae badashah-e-khuban-e-jahan teri mohini surat pe qurbanke main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri neend gaihui bad-e-bahari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fizameri shakh-e-ummid na lai sanvar mera chain gaya meri neend gaiae barq-e-tajalli bahar-e-khuda na jala mujhe hijr mein shamma sameri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri neend gaikehta hai yahi ro ro ke “zafar” meri aah-e-rasa ka hua na asarteri hijr mein maut na aayi abhi mera chain gaya meri neend gaiyahi kahana tha shero ke aj “zafar” meri aah-e-rasa mein hua na asartere hijr mein maut na aai magar mera chain gaya meri neend gai

Your Comment Comment Head Icon

Login