Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar,Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar.Tu kandha na dena mere janaze ko,Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar`Khushi agar hum se daaman bachati hai to bachayeHumein to gum hi hain raas aayeMohabbat ka yeh ajab dastoor dekhaUssi ki jeet hai..jo haar jaaye ..`Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,Karke mohabbat koi nahi bachega,Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi.`Mohabbat ka kya hai kabhi bhi ho jati hai,Har kisi ki aankho me bas nami chod jati hai,humne ki mohabbat to haal hua aisa,taaro ke beech ek shaam guzarta ho jaisa.`Zindagi ka matlab aapne bata diya,Har gam ka matlab aapne samjha diya.Aap to Ro-kar bhi apne gamon ko halka na kar sake,Humne Khushi ki aaadh mein apne ghamon ko chupa liya.`Gila aap se nahi koi,Gila hum apni majbooriyon se karte hain.Aap aaj hamare karib naa sahiMohabbat to hum aapki dooriyon se bhi karte hain.`Har Kadam pe imtihan leti hai zindagi,Har waqt pe naye sadme deti hai zindagi,Hum zindagi se shikwa kaise kare .Jab aap jaise dost deti hai zindagi`Zindagi mein naye log hardum milenge,Kaheen jyada to kaheen kam milenge,Aitbaar zara soch kar karna,Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge`Humse door jaoge kaise,dil se hume bhulaoge kaise,hum vo khushboo hain, jo saason me baste hain,khud ki saason ko rok paoge kaise.`Log samajthe hain keh humne tumhe bhula rakha hain,Ye nahin jante ke kahin dil mein chupa rakha hainDekh na le koi meri aankho mein tasvir tumhari,Humne apni palko ko is qadar jhuka rakha hain .`Phir chupke se yaad aa gaya koi,meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,kaise uska shukria aada Karen,mujh naachiz ko “shayar ” bana gaya koi.`Ajmaish pyar jaroori hoti haiNa mil pana kisi ki majburi hoti haiyaad apko door se kar to sakten hailakin dil ki hasrat to mulkat se hi puri hoti hai`Kabhi tum bhi humse baat kar liya karomilne ki fariyad kar liya karoek hum hai jo har baar shuruat karte haikabhi tum bhi hamse pehle hamein yaad kar liya karo!!!!!!!!`Duriyon se fark padta nahi,Baat to dilon ki najdikiyon se hoti haiDosti to kuch khaas aap jaiso se hai warna,Mulakat na jane kitno se hoti hai.`Banke ajnabi mile the zindagi ke safar mein kahin,in yadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi,agar yaad rakhna fitrat hai aapki,to bhool jane ki aadat hamein bhi nahi!!!!`Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon homujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon hoTum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafapyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho`Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon hodil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon hoIn se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tummere shaanon se ye zulf hatate kyon ho`Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon homilne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho`Bagair Jaane Pahchaane ikraar na kijiye,Mushukura kar dil ko bekaraar naa kijiye,Phool bhi de jate Zakham gehra kabhi kabhi,Har phool par yun aeitbaar na kijiye.`Mangi thi dua ashiyane ki,Chal padi aandiyaan jamane ki,Mere gum koi naa samjh saka,Kyunki meri aadat thi muskarane ki`Na koi kisi se door hota hai,Na koi kisi ke kareeb hota hai,Pyar khud chal kar aata hai,Jab koi kisi ka naseeb hota hai ..`Shararat na hoti, shikayat na hoti.naino mai kisi ke nazakat na hoti,na hoti bekrari, na hote hum tanha,agar jahan me kambhakat ye mohabbat na hoti.`Unki tasveero ko seene se laga lete haiis tarah judaai ka gam mita lete hai,kisi tarah kabhi jikar ho jaye unka,has kar bheegi palke jhuka lete hain.

Your Comment Comment Head Icon

Login