Jab Dil Ki Dharkan Rooti HaiJab Dour Kahin Sannaatay MainEk Chap Si Koi Hoti HaiJab Man Main Ansoo Girtay HaiDukh Hastay Hai Dukh Hastay HaiJab Dour Koi Koyal BolayJab Baphri Moujain Mil JainJab Pair Say Patta Gir JayayJab Man Hi Man Main Aksar HumSubah Sham Sulagtay HaiDukh Hastay Hai Dukh Hastay HaiJab Raat K Saayay Dhaltay HaiJab Panchi Pankh Andhairay HiGher Lout Kay Ayay Kertay HaiPhir Hum Jaisay Deewanay LogPrem Ki Aag Main Jaltay HaiDukh Hastay Hai Dukh Hastay HaiJab Takiya Aksar Ratoun KoRazoo Ka Bouj Uthata HaiJab Bichray Waqt Ka Raz SamaAnkhon Ka Bouj Ghatata HaiJab Lab Apas Main Miltay HaiDukh Hastay Hai Dukh Hastay Hai

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona HaiK Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona HaiHar Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K AfsanayTere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona HaiTumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo GeyTumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona HaiTujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere SanamMujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona HaiKabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon MainYaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona HaiMilayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki KhushiyaanBas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona HaiHar Shaks Chalayga Meri Rahon PerMohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona HaiYaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye GaUsay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai…….

Aapki surat mujhe sapne mai ek khilte hue phool ki tarah najar aati haiaapke sath bitaye hue har pal har lamha mujhe roj yad aata haimeri to duniya hi tumse thi phir kyu sath chod diya meraaapke har kadam mai sath dene wala dost bhi mai hi thaaapko khud se jyada pyar karne wala bhi mai hi thajindgi mai khushi mangne se milti hai to mujhe nahi chahiyegum se bhi pyar karna sikh lengepyar ka mtlb jis din smjh jaogi to yad kar kar ke pachtaogi tumdosti mai jan dene wala bhi koi koi milegaaaj jinda hai hum to bat nahi karte tumek din aisa bhi aayega jis din apne aap se bat karogi tum, farq itna haikal hum nahi rahenge to awaj sunne ke liye bhi taras jaogi tum

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein?Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna?Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar?Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna?Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana?Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Kheton mein kam karati hui ladakiyanjeth ke champai dhup nejin ka sona badansurmai kar diyajin ko raton mein os aur pale ka bistar miledin ko suraj saron par jaleye hare laun meinsang-e-marmar ke benchon pe baithi huiun hansi muraton se kaheen khubasuratkaheen mukhtalifjin ke jude mein juhi ke kaliyan sajinjo gulab aur bele ke khushbu liyeaur rangon ke hiddat se pagal phirenkhet mein dhup chunati hui ladakiyan bhinai umr ke sabz dahaliz par hain magaraaaina tak nahi dekhatiny gulab aur dezi ke hiddat se naashnakhushbuon ke jan lams se bekhabarphul chunati hain lekin pahanati nahiin ke malabus meintez sarson ke phoolon ke basun ke aankhon mein roshan kapasPoet of the ghazal or Nazam:Ishrat Afreen

Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye hein,zakham muft aur dard tohfe mein bhijvaaye hein,is se badkar wafadaari ki misaal kya hogi,maut se pehle hi mere dost KAFAN le aayen hein..`Jis din se juda vo humse hue,is dil ne dharkna chor diya,hai chaand ka mooh bhi utra utra,taaro ne chamkna chor diya..`vo yaad aaye bhulate bhulate,dil ke zakhm ubhar aaye chupate chupate,sikha tha jise dekh ke muskurana,usi ne aaj rulaya hasate hasate..`Aankhon me tere ashk utaar lenge.Khushi tujhe dekar gham udhar lenge.Tere Jane ke bad aaigi teri yaad.Tere khayalo me hi waqt guzar lenge..`Khuli aankhon se sari umar dekhaEk aisa khowab jo apna nahin thaaaj tak woh shahks dil mein haiiiiiKe jo us waqt bhi mera nahin tha..

Jahan Se Bhaaag Kar Khud Se Yaari Kar BaitheGoya Poori Barbadi Ki Tyaari Kar BaitheMayusi Ki Raahon Par Dhhakela Tha JisneKhushiyun Me Apni Usse Hissedari Kar BaitheHasne Ka Sahara Ye Umr Hi Bachi Hai HamariKamsin Si Umr Me Khuloos Se Pardadari Kar BaitheMahfil Me Unki Bulaya Tak Na Gaye TheUspe Unke Sitamo Par Shayri Kar BaitheGhamzadon Se Kinara Karke Kaun Khush Nahi HotaUnhe Tanha Dekh Kar Ghamo Se Haami Kar BaitheVo Baazi Jis Par Sab Logon Ki Aas ThiJeeti Usi Baazi Ko Jaankar Haari Kar BaithePahunch Gaye Hum Jahan Muqarrar Unki Sunwai ThiUnke Gunaho Me Bhaagedari Unke Saath Ki Khatir Kar BaitheIs Kadar Karz-e-hsaas Me The Vo “Kaash“Himaqaton Ko Hamari Pasand Vo Saari Kar Baithe…

Un Logo Ka Kya Hua Hoga,Jinko Meri Tarha Gum Ne Mara Hoga,Kinare Par Khade Log Kya Jane,Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko Pukara Hoga..!`kash woh nagme sunaye na hoteaaj unko sunkar ye aansu aye na hoteagar is tarha bhool jana hi tha toitni geherai se dil main samaye na hote..`Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…Use paana nahi meri taqdeer mein shayad,Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…`Us ajnabi ka youn na intezaar karoIs aashiq dil ka na aitbaar karoRoz nikla karen kisi ke yaad mein aansoItna kabhi na kisi se pyaar karo.`Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.

Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai.Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai.Tumhe Yad Na Aayee Khair. Aana Meri Maut Par.Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.`Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liyeor woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,guzarish yehi hai khuda se ke kash wohlamha fir aye 1 lamhe ke liye .`Mombati ke andar ka dhaga bola,mai jalta hu to tu kyu pigalti hai?Mombati boli, jisko dil me jagah di ho wobichade to ansoon to niklte hai.`Soch lene se pahley mein kar arz deta huinshayari me yaaron dil ke raaz khol deta huinkuch apni kuch unki kahaani bahut hainmila mila kar kissey mein duniya ko bol deta hun..!!!`Tere bichadne ka dukh hum sah nahi sakte,bhari mahfil me kuch kah nahi sakte,hamare girte ansu pakad ke dekh,wo bhi kahenge hum tere bina reh nahi sakte.

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat“Mere Paas Laut Aana”Jab Raat Ka Diya Bhuj JayeOr Kuch Saaf Nazar Na AyeTo Darna Mat“Mere Paas Laut Aana”Jab Bin Baadal Barsaat Ho JayeOr Tumhien Raasta Na Mil PaayeTo Udaas Mat Hona“Mere Paas Laut Aana”Jab Saans Ki Dori TooteOr Koi apna Tumhien LooteyTo Maayoos Mat HonaMere Paas Laut AanaJab Dil Tumhara TooteOr Kisi Ka Sath Tum Se ChhooteTo Aanso Mat Bahana“Meri Paas Laut Aana”Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho TumMere Jazbat,Pyar,AitbarKo Tor Ke Gayi Ho TumPhir Bhi Meri Yaad Agar AyeOr Aankhien Tumhari Bher AyeinTo Shermindah Mat Hona“Mere Paas Laut Aana”Bas Itna Kehna Chahta HoonKe Hamesha Intizar KaroongaIs Kaeenat Se Ziada Pyar KaroongaMagar Jab Tumhien Meri Yaad AyeTo Rukna Mat“Mere Paas Laut Aana “

Jab Se Hui Hai ShaadiAansoo Baha Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha HoonBiwi Mili Hai AisiVo Kaam Kya KaregiKhud Lux Mein Naha KarKhushbu Mein Tar RehegiTukde Bache Hue HainUnse Naha Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha HoonBarah Baje Ghadi MeinMadam Ji So Rahi HainBacho Ki Fauj AakeMeri Jaan Ko Ro Rahi HaiBacho Ke Saath BaithaKhana Paka Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha HoonSoyi Hai Vo Palang ParSar Dard Ke BahaneKis Ki Majaal Hai JoJaaye Use UthaneYaaro Bura Na ManoMein Sar Daba Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha HoonDuniya Ko Yeh Pata HaiBegum Ka Hoon Mein ShoharIs Ghar Ka Mein Tha MalikAb Ban Gaya Hoon NaukarBistar Laga Raha HoonChadar Bicha Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha HoonJab Se Hui Hai ShaadiAansoo Baha Raha HoonAafat Gale Padi HaiUsko Nibha Raha Hoon.

Hum tu tere dil ki mehfil sajany aay theTere kasam tujhy apna banany aay theKis baat ki saza di tony hum ko bewafaHum tu tere dard ko apna banany aay the.`Tum kis se wafa ki umeed kar rahay thyYe to woh shaks hyJo apni ghalti ki wajha bhiTumhen kehta hy.`Toot jata hai bikhar jata hai,Kaanch k ghar me muqaddar apne,Ajnabi tou sada pyar se milty hain,Bhool tou jaty hain aksar apne..`Wada hum nai kya tha nibhaney k liyeEk dil dia tha ek dil pane k liyeUnho ne mohabbat sikha di or kaha.Hum nai tou mohabbat ki thi tumhe azmaney k liye!`Tere khuwabon ki dunia or main tanha!Raat, samandar, chand, hawa or main tanha!Koi to kash mera bhi gham saaz baney!Mujh se sare log khafa or main tanha.`Datey hain kyun ye Dard bas hami ko,Kya Samjhen ge wo in Aankho ki nami ko,Lakhon Deewane hon jis Chand k,Wo kya Mehsus karen ge Ek Mri Kami ko..

Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Ker Lein,Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Ker Lein,Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !Hamsafar Koi To Ho. Waqt Ke Veeraane Mein ,Hamsafar Koi To Ho. Waqt Ke Veeraane Mein ,Sooni Aankho MeinSooni Aankho Mein, Koi Khwaab Sajaya Jaaye !Ghar Se Maszid Hai Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya JaayeRoshni Kii Bhii. Hifaazat Hai , Ibaadat Kii TarehRoshni Kii Bhii. Hifaazat Hai , Ibaadat Kii TarehBujhte Suraj SeBujhte Suraj Se , Charaago.N Ko Jalaya Jaaye !Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !Gam Akela Ho To , Saanso.N Ko Sataata Hain Bahut ,Gam Akela Ho To , Saanso.N Ko Sataata Hain Bahut ,Dard Ko Dard KaDard Ko Dard Kaa, Hamdard Banaya Jaaye !Ghar Se Maszid Hai Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !

Bahut Hansa Tha Main,Jinko Bhi Hansaane Ki Liye.Wahi Chod Gaye Hain Mujhe Aaj,Tanhai Main Aansoo Bahaane Ke Liye.Woh Hanste Hain Haamare Saamne,Shayad Hamein Tadpaane Ke Liye.Par Hum To Kambakht Ro Bhi Nahi Sakte,Zamaane Ko Gum Dikhane Ke Liye.Khushiyan Sab Woh Le Gaye,Aashk Hain Bas Aab Mere Liye.Par Yeh Aashk Bhi Aab Nahi Dete Hain Saath,In Aankhon Se Aashk Bahaane Ke Liye.Bade Sambhal Kar Rakhe The Kadam Humne,Unke Saaye Ko Bhi Bachaane Ke Liye.Par Aaj Apna Hi Saaya Saath Chod Gaya,Humein Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye.Ruke The Hum Har Moad Par,Unke Intezaar Ke Liye.Aaj Chod Gaye Hain Woh Ek Naye Moad Par,Zindagi Bhar Intezaar Karwaane Ke LiyeBahut Khushiyan Hain Aas-Pass,Mujhe Khush Karne Ke Liye.Phir Bhi Koi Wajah Doondhta Hoon,Shaayad Main Muskuraane Ke Liye.Kuch Yaadein Hongi Unke Pass Bhi,Humein Yaad Karne Ke Liye.Par Woh Kabhi Humein Na Yaad Kar Payenge,Doondhenge Kisi Bahane Ke Liye.Kabhi To Woh Bhi Sochenge,Humaare Pass Waapis Aane Ke Liye.Lekin Tub Hum Honge Hi Nahi,Unko Pachtaane Ka Mauka Dene Ke Liye.Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism,Aapna Hi Bhoja Dhone Ke Liye.Thodi Si Zamin Talaashta Hoon,Khud Ko Dafnaane Ke Liye.

Hum chahkar bhi tumhe pa na sakePar tumne na chahkar bhi hume pa liyaHum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe haiPar tum chahkar bhi hume bhula na sakeHum chahkar bhi tumhe khushiya na de sakePar tum na chahkar bhi hume khushiya de gayeHum chahkar bhi pyaar nibha na sakePar tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye.Woh roye to muh mod ke roye,Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.Unhone dekha aur aansu ghir pade,bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota .