Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko; Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi

Sharminda Meri Rooh Ki Sachayiyan Huin; Tabsraa Woh Zameer Ne Kirdaar Par Kiya

Badli Jo Kaynaat Mujhe Iska Gham Nahi; Lekin Bura Tha Naseeb Jo Tum Badal Gaye

Khulta Kisi Pay Kya Mery Dil Ka Muamla; Shairon K Intekhab Nay Ruswa Kia Mujhy

Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee; Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya

Nerangi Siasat e Doran To Dekhiye; Manzil Unhein Mili Jo Shareek e Safar Na The

Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye; Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha

Kya Uss Se Chupaaun Nahi Ghair Bhi Itna; Kya Us Ko Bataaun Mera Apna To Nahi Hai

Ai Aasmaan Tere Khudaa Ka Nahi Hai Khauf; Darte Hain Ai Zameen Tere Aadmi Se Hum

Tum Kya Gaye Ki Waqt Ka Ehsaas Mar Geya; Raaton Ko Jaagte Rahe Aur Din Ko So Gaye

Sun Kar Tamaam Raat Meri Dastaan-e-Gham; Boley To Sirf Yeh Ke Bahut Boltey Ho Tum

Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum; Aaya Bhi Aur Geya Bhi Zamana Bahar Ka

Saabit Hua Ke Tu Bhi Zamane Ke Sath Hai; Saabit Hua Ke Tu Bhi Hamaara Nahin Rahaa

Hazaar Rang Bhare Zindagi Ke Khaake Mein; Tere Baghair Yeh Tasveer Na mukammal Hai

Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban; Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The