AJNABI Mehfil Me Kisi Se Dil Na Lagana DOST
Suna Hai Bin Bulaye Aanay Walay Bin Bataye Chalay Jatay Hain

Chahne Se Koi Cheez Apni Nahi Hoti; Har Muskuraht Khushi Nahi Hoti; Armaan To Hote Hain Bahut Magar; Kabhi Waqt To Kabhi Kismat Sahi Nahi Hoti

Koi Umeed Bar Nahi Aati; Koi Soorat Nazar Nahi Aati; Maut Ka Ek Din Muayyan Hai; Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati Translation: No longing can now be fulfilled No despite can now be envisaged The day of death has been appointed Why is the night crowded with sleeplessness?

Tumhare Baad Kaun Banega Mera Humdard; Humne To Apne Bhi Khoye Hein Tujhe Pane Ke Liye

Kahan Tak Sunegi Raat Kahan Tak Sunayein Ge hum; Shikwe Sare Sab Aaj Tere Rubaru Karein

Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye; Rooth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo

Tujhe Fursat Na Mili Padhne Kee Warna; Hum To Tere Shehar Mein Biktey Rahe Kitaabon Kee Tarah

Chaman Mein Jo Bhi The Naafiz Usool Uske The; Tamaam Kaante Hamaare The Aur Phool Uske The; Main Iltejaa Bhi Kartaa To Kis Tarha Kartaa; Shehar Mein Faisle Sabko Kabool Uske The

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tu Tham Le; Magar Mere Pyaar Ko Bhi Tu Kabhi Pehchan Le; Kitna Intezar Kiya Hai Tere Ishq Mein Humne; Zara Yeh Dill Kee Betaabi Ko Bhi Tu Kabhi Jaan Le

Ab Toh Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin; Kitni Tanha Ho Gayin Tanhaayiaan

Kuch Iss Tarah Sauda Kiya Waqt Ne; Tajurba De Kar Woh Meri Nadani Le Gya

Jo Buraayi Mere Naam Se Mansoob Huyi; Dosto Kitna Bura Tha Mera Acha Hona

Zameer Marta Hai Ehsaas Ki Khamoshi Se; Ye Woh Wafaat Hai Jis Ki Khabar Nahi Hoti

Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Maanind; Woh Shakhs Jis Ko Mera Hona Bhi Nahin Hai

Juda Huye Hain Bahut Log Ik Tum Bhi Sahi; Ab Itni Si Baat Pe Kya Zindagi Haraam Karein