Umer Draaz Maang Kar Laahe Teh Chaar Din; Do Aarzoo Me Kat Gahe Do Intezaar Me

Meri Koshish Hamesha Hi Naqaam Rahi; Pehle Tumhein Paane Kee Ab Tumhein Bhulane Kee

Har Baat Jante Hue Bhi Dil Maanta Na Tha; Hum Jaane Aitbaar Key Kis Marhale Mein The

Tujhe Khabar Hai Tere Teer-e-Bepanah Ki Khair; Bahut Dino Se Dil-e-Natwan Nahi Milta

Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai; Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho

Dil Ko Pighlaata Hua Aankhon Ko Garmaata Hua; Phir Khayaal-e-Yaar Aaya Aag Barsaata Hua

Bana Ghulab To Kaante Chubaa Geya Ek Shakhs; Hua Chiragh To Ghar Hi Jala Geya Ek Shakhs

Mitt Jaye Gi Makhlooq To Insaaf Karo Ge; Munsif Ho Agar To Hashar Uthaa Kyon Nahin Dete

Takdeer Se Shikwa Bhi Karein To Kis Tarah Karein; Iss Takdeer Ne Humko Milaaya Bhi Tha Unse

Tum Ise Shikwa Samajh Kar Kis Liye Sharma Gaye; Muddaton Ke Baad Dekha Tha To Aansu Aa Gaye

Deedar Tera Kiya Humne Aaj Gairon Kee Qataar Se; Na Nazar-e-Inayat Hui Na Rooh Ko Sukun Mila

Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne; Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya

Raiza Raiza Hai Akss Mera Magar Hairat Yeh Hai; Hai Mera Aayina Salamat To Phir Toota Kya Hai

Uski ankho me nazar ata tha sara jahan mujhko; Magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nahi

Ab Shikayat Tujh Se Nahi Khud Se Hai; Maana Ki Sare Jhooth Tere The Par Un Pe Yaqeen To Mera Tha