Mere Muqaddar Mein To Tumhari Yaadein Hain Lekin; Tum Jiske Muqaddar Mein Ho Use Zindagi Mubarak

Kitne Majboor Hain Takdeer Ke Hathon; Na Use Pane Ki Aukat Rakhte Hain Aur Na Use Khone Ka Hosla

Guzar Gaya Woh Waqt Jab Teri Hasrat Thi Mujhe; Ab Tu Khuda Bhi Ban Jaye To Bhi Tera Sajda Na Karu

Kahan Talaash Karoge Tum Mujh Jaisa Shakhs; Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare

Taras Jaoge Hamaare Labo Se Sunn Ne Ko Ek Ek Lafz; Pyaar Ki Baatein To Kya Hum Shakayat Bhi Nahi Karenge

Wo Kitna Meharban Tha K Hazaron Gham De Gaya; Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake Mohabbat K Siwa

Humse Khelti Rahi Duniya Taash Ke Patton Ki Tarah; Jisne Jeeta Usne Bhi Phenka Jisne Haara Usne Bhi Phenka

Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Vaar Karte Hain Faraz ; Warna Gairon Ko Kya Khabar Ki Dil Kee Jagah Kaun Si Hai

Kabhi Tanhai Kabhi Tadap Kabhi Bebasi To Kabhi Intezar; Ye Marz Bhi Kya Khoob Hai Jise Sab Log Ishq Kehte Hai

Ye Na Pooch Ki Shikayatein Kitni Hain Tujhse Aye Zindagi; Sirf Ye Bata Ki Tera Koi Aur Sitam Baaqi To Nahi Hai

Mere Lafz Agar Us Tak Pahunch Jayein To Bas Itna Keh Dena; Hum Jaise Log Ek Baar Kho Jayein To Phir Dobara Nahi Milte

Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin; Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya Translation: Qaleel = Very less

Kon Tha Woh Jo Tha Apne Shab-o-Roz Mein Gum; Mar Gaye Jis Ki Mandderon Pe Kabooter Mere Translation: Mandderon = Balcony

Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Kee Lekin Waqt Hum Se Bewafai Kar Geya; Kuch To Hamare Naseeb Bure The Kuch Us Ka Hum Se Jee Bhar Geya

Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga; Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga; Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad; Toh Phir Yaad Dilane Se Kya Hoga