Haqiqat na samjh aye dost labo ki hasi ko
Hazaro gam qaid hai meri ek muskaan ke piche

Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain

Tamanna Se Nahi Tanhayi Se Darte Hain; Pyaar Se Nahi Ruswayi Se Darte Hain; Milne Kee Chahat To Bahut Hai Magar; Milan Ke Baad Kee Judai Se Darte Hain

mujhse judaa ho kar tu bhaut khush hai..
har baar tu bolti thi mujhe khud se alg kr do..
or ab tumhari iccha poori ho gyi tum khush to hogi hi

Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Shaam; Main Aaj Shaam Tumhare Hijar Mein Udaas Na Tha; Ab Ek Saal Toh Yeh Ek Gham Hi Kaafi Hai; Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha

Koi Apna Hota To Bin Kahe Hi Samjh L Ab Kis Ko Bataun Ki Kya Hai Is Dil Mein; Bhule Baithe Hain Wo Log Bhi Jinhe Apna Samjhta Hun; Kabhi Mile To Dil Cheer Ke Dikha Dun Ki Kya Hai Is Dil Mein

Sari Raat Na Soye Hum
Raato Ko Uth Ke Kitna Roye Hum,
Bas Ek Baar Mera Kasur Bata De Rabba,
Itna Pyaar Karke Bhi Kyon Naa Kisi Ke Hue Hum…
=RPS

Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge; Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur Translation: Departing you say We shall meet on Judgement Day Marvellous As if the day of judgement is some other day

Badi Mushkil Se Bane Hain Toot Jane Ke Baad
Hum Aaj Bhi Ro Dete Hain Muskurane Ke Baad
Aapse Mohabbat Thi Humein Be-inteha
Magar Yeh Mehsoos Hua Aap Se Bichhad Jane Ke Baad

Teri judai ne mujhe shayer bana diya
Haale dil alphaazon mein likhna sika diya
Shochta hoon likh doon dastain e mohabbat meri
Par phir teri ruswai ke dar ne ruka diya
Teri judai ne mujhe shayer bana diya

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi,
Dono Insaan hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi ... !
" Tu Mujhe or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi " ... !!
" Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi " ... !!!

Ik Khel Hai Aurag-e-Sulemaan Mere Nazdeek; Ik Baat Hai Ajaaz-e-Maseeha Mere Aage

Us Ke Baghair Aaj Bohat Jee Udaas Hai; Jalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Layen Hum

Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai; Jalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum

Uss Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai; Jalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum