Yaad Mein Teri Aahein Bharta Hai Koi; Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi; Maut Sachhai Hai Ek Roz Aani Hai; Lekin Teri Judaai Mein Har Roz Marta Hai Koi

Paya Tumko To Hum Ko Laga Tumko Kho Diya; Hum Dil Pe Roye Aur Yeh Dil Hum Pe Ro Diya; Kyon Is Ke Fansle Hume Manzoor Ho Gaye; Kitne Hue Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye

Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main; Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main; Teri Doori Ne Kar Diya Hai Pagal Sa Mujhe; Aur Logon Ka Kehna Hai Ki Magroor Hoon Main

Kab Tak Reh Paoge Aakhir Yun Door Hum Se; Milna Padega Aakhir Kabhi Zaroor Hum Se; Nazrein Churane Wale Ye Berukhi Hai Kaisi; Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasoor Hum Se

Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte; Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Nahi Sakte; Humare Girte Hue Aansuon Ko Padh Kar Dekho; Woh Bhi Kehte Hain Ki Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte

Kaisi ajeeb ye tujhse Judai thi,
Ki tujhe alvida bhi na keh saka,
Teri saadgi mai itna fareb tha,
Ki tujhe bewafa bhi na keh sake.

Jane Kis Baat Kee Mujhko Saza Deta Hai; Meri Hansti Hui Aankhon Ko Rula Deta Hai; Ek Muddat Se Khabar Bhi Nahi Teri; Koi Iss Tarah Bhi Kya Apne Pyaar Ko Bhula Deta Hai

Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Kee Tarha; Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Kee Tarha; Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha; Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha

Maut Ne To Nahi Zindagi Ne Bahut Sataya Hai; Tujhe Jitna Bhule Tu Utna Hi Yaad Aaya Hai; Tu kyon Is Baat Ko Aksar Bhool Jata Hai; Barson Minaton Ke Baad Tujhe Paaya Hai

Zamane Se Nahi Main To Tanhai Se Darta Hun; Pyaar Se Nahi Main To Ruswai Se Darta Hun; Milne Kee Umang Bahut Hoti Hai Dil Mein; Lekin Milne Ke Baad Teri Judai Se Darta Hun

Chand Kee Taraf Dekh Ke Fariyaad Mangte Hain; Hum Zindagi Mein Bas Tera Pyaar Mangte Hain; Bhool Ke Bhi Kabhi Mujhse Door Mat Jana; Hum Kaun Sa Tujhse Teri Jaan Mangte Hai

Sabko Khuda pyara hota hai. Koi na koi kisi ka sahara hota hai,
Kisi ki thodi si Judai se jo tadap jaye,
Log kahte hai wahi Rishta sabse pyara hota.

Badi Mushkil Se Bana Hun Toot Jaane Ke Baad; Main Aaj Bhi Ro Deta Hun Muskurane Ke Baad; Tujh Se Mohabbat Thi Mujhe Beinteha Lekin; Aksar Yeh Mehsoos Hua Tere Jaane Ke Baad

Tanha Rehna To Sikh Liya Humne
Per Khush Na Kabhi Reh Payenge
Teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil
Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge

Mujh Se Bichar Kar Mujh Ko Rula Kar Woh Udaas Tha; Meri Tarah Khud Ko Jala Kar Woh Udaas Tha; Aaise Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaaro Aur; Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha