Kahti Thi Ay Maa Khoon Bhari Maiyat Sai Lipat KarHai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali AkbarArman Tha Pahnawoon Gi Poshak ShahaniAfsoos Kai Raas Aaie Na Tujh Ku Ay JawaniKaisa Tha Muqaddar, Hai Hai Ali AkbarAathara Baras Paal Kai Parwan CharhayaAur Gaisuwoon Wala Hai Mera Khoon Main NahayaKhurban Ho Maadar, Hai Hai Ali AkbarItna To Zara Tehro Tumhain Dhula Bana LoonBas Ek Jhalak Sahrai Ki Sugra Ku Dhika LoonBaichain Thi Kwahar, Hai Hai Ali AkbarMaa Teri Judaie Main Bhala Kaisai Jaie GiMar Jaayaigi Sugra Jo Khabar Teri Sunai GiAb Kya Karoon DilBar, Hai Hai Ali AkbarTehro Kai Main Atharween Mannat To Badha LoonPhir Lai Kai Balayain Tujhai Jeenai Ki Dua DoonSadqai Ho Ay Maadar, Hai Hai Ali AkbarPahalai To Ek Aawaz Pai Uthja Tai Thai BetaAb Etni Saadawoon Pai Bhi Pahloo Nahi BadlaKya Ho Ga Ya DilBar, Hai Hai Ali AkbarTum Hikhkiyaan Lai Lai Kai Jo Dam Toor Rahai HoMoo Maa Sai Hamaisha Kai Liye Moor Rahai HoKuyn Roothai Ho DilBar, Hai Hai Ali AkbarAaye Jo Hamain Loot Nai Khimai Main SitaamgarMaa Dai Gi Sadaayain Ali Akbar, Ali AkbarChin Jaayai Gi Chaadar, Hai Hai Ali AkbarJab Koie Jawan Laash Nazar Aati Hai MahsharEk Yaad Suie Kar Bo Bala Jaati Hai MahsharDil Ro Ta Hai Kah Kar, Hai Hai Ali Akba

Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin HotiNafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin HotiAansoo Khushi Ke Gham Ke, Hote Hai Ek JaiseIn Aansuon Ki Koi Pehchaan Nahin HotiHaan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin HotiNafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin HotiHar Baat Hai Vahi Par Matlab Badal Gaye HaiDil Dagmagaa Gaya Tha, Par Hum Sambhal Gaye HaiAise Bhi Aate Hai Din, Jeete Hai Log LekinHota Hai Aur Sab Kuch, Par Jaan Nahin HotiHaan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin HotiNafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin HotiLa La La Laa, La La La La Laa LaaAah Haa, Aah Ha Ha Ha Ha Ha HaaLa La La Laa, La La La Laa Laa,La La La La Laa La, Aah Ha HaHote Hai Is Jahan Mein Chehre Bhi Ek JaiseGhoonghat Bhi Ek Jaise, Sehre Bhi Ek JaiseSab Jaanti Hai Nazrein, Pehchaanti Hai NazreinApni Paraayi Soorat Anjaan Nahin HotiHaan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin HotiNafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin HotiKya Cheez Hai Yeh Dil Bhi, Ho Jaaye Jab AkelaRehta Hai Saath Iske Yaadon Ka Ek MelaDuniya Bhi Chhoot Jaaye, Har Aas Toot JaayeMehfil Kabhi Yeh Dil Ki Veeran Nahin HotiAansoo Khushi Ke Gham Ke, Hote Hai Ek JaiseIn Aansuon Ki Koi Pehchaan Nahin HotiHaan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin HotiNafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti

Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai MujheEk Ajooba Ahal-e-Duniya Ko Dikhana Hai MujheHousla Himmat Ke Buniyadoun Me Pathar Baandh KarAzm Wo Istaqlaal ka Paya Jamana Hai MujheMahr Ka Paani, Wafaa Ki Reet, Ganj Isaar KiPyaar Ki Eintou Se Deewarein Uthana Hai MujheKhidkiyaa Iqlaas Ki, Darwaze Husn-e-Qalq KeInn Pe Parde Muskurahat Ke Lagana Hai MujheDard Mandi Aur Silaa Rehmi Ki Roshan DaniyaaFarsh Salim Qaaksari Ka Bichana Hai MujheIlm Ki Hongi Kaamanein Aur Aquwat Ke SutoonSaare Ghar Me Ilm Ki Shamein Jalana Hai MujheChatt Ki Kadiyaa Fahem Ki Houngi Salaqein Raham KiJhoomaroun Se Shukar Ki Chatt Ko Sajana Hai mujheRaahdaari Chain Ki, Kamre Sukoon-e-Qalb KeEk Waseh Dalaan Chahat Ka Banana Hai MujheSeedhiyaa Zindadili Ki, Khushdili Ka TabdaanHar Qadam Par Naksh Fitrat Ke Bithana Hai MujheBalcony Inksari Ki, Jharoke Sabar KeInn Me Kangoore Sharafat Ke Lagana Hai MujheRang O Rougan Burdbaari Ke Dar O Deewar ParToghre Allah Aur Muhammed Ke Sajana hai MujheChaar Deewari Haya Ki, Aur Gate Qair KaPeid Ekjahiti Ke Aangan Me Lagana Hai MujheKiyariyan Itayat Ki Hongi, Belein Istaghfaar KiHusn Zann Ke Maiz Honge, Kursiyaa Tahzeeb KiIss Tarah Deewan Qane Ko Sajana hai MujheKhoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe

koi Su’nn na lai unkahi baatain..Zindagi ko na chairro.ro dey gi.jab yai roey gi tou merey dil ki aawazSunaai dai gi, jaisey koi ghum ka saazaur yun merey ehsaas mai samaey gi,Yaad yun aaien gi wo sab guzri baateinhar beet_ta pal apney aap main kho kerthora mujh se qareeb, thora door ho kermujh sai apnay anjaan honay kagila karay gaEhsaas hoga.kay, aankhon kay yai aansoo..ye meri hasratein, ye justujoobai naam nahi hain,muntashir in mai haein guzri baateinwo beeta pal wo guzra huwa kalkabhi kabhi anjaaney sapnon ki raah sajaeyapni nazrain chupaata huwamujh ko anjaan nazroon sai dekhta jaey..Ehsaas hoga.kay, ird gird kay log.kuch aisay guzertay hain merey paas sai..kay main koi jism nahi, ek saya hoonaik aisa aks hoon jis ka koi wujood nahi!mujh mai koi mojood nahiAik tarap haiunkahi si..aik khalish hai.Dabi dabi sijis kay ehsaas ka koi naam nahinaik rog hai.ba zahir koi zakhm nahin.aik soag hai .aik ahh si hai.jis ki apni koi Aawaaz nahin.raaz aisa hoon mai ke jiska koihamsukhan, hamnafas hamraz nahiKis say kahoon ?kis kis ko samjhaoon.kay aur ronay ko dil ab nahi kerta.koi laikin kiya jaaney, kiya samjhey..kay inn aankhon sai na janeykabhi kabhi.. kitney aansoo barastey hain.Or yai dil tou..aksar hi aasooda-e-gham rehta hai.Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gayaGoya baghair saans kai jeena sikha gaya.

Mere Khudaya Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab LikhoonYeh Mera Chehra Yeh Meri AankhainBujhay Huwe Charaagh JaisayJo Phir Say Jalnay Kay Muntizar HonWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainJinhon Nay Paemaan Kiye The MujhsayRifaaqaton Kay Muhabbatoun KayKaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir Reh-E-Wafa KeJahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath TerayBanain Gay Raaton Mein Chandani HamTou Din Mein Saae Bakhaer Dain GayWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainWuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun KayShikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki Reh-Guzar KaMinaar-E-Roshni Hue HainMagar Mussafir Ko Kya Khabar HayWoh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa HaySitaara Aankhain Tou So Gaii HainWoh Zulfain Be-Saaya Ho Gaii HainWoh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta ThaySo Meri Raahon Mein Aaj Bhi HainKeh Mein Mussafir Reh-E-Wafa KaWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWuh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainHazaaron Chehron Hazaaron AankhonHazaaron Zulfon Ka Aik Saelaab-E-Tund Lay KarMeray Taqub Mein Aa Rahay HainHar Aik Chehra Hay Chand ChehraHain Saari Aankhain Sitaara AankhainTamaam Hain Sayya-Daar ZulfainMein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko DaikhoonMein Kis Kay Saae Mein Baeth JaounBachoon Keh Toofaan Me Doob JaounKeh Mera Chehra, Na Meri AankhainMere Khudaya ! Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab Likhoon

Wo bhi kya log the aasan thi rahen jin keband aankhen kiye ik simt chale jate theaql-o-dil khvab-o-haqiqat ke na uljhan na khalishmukhtalif jalve nigahon ko na bahalate theishq sada bhi tha bekhud bhi jununpesha bhihusn ko apni adaon pe hijab aata thaphul khilate the to phoolon mein nasha hota tharaat dhalati thi to shishon pe shabab aata thachandani kaifasar ruhafza hoti thiabr aata tha to badmast bhi ho jate thedin mein shorish bhi hua karati thi hangame bhiraat ke god mein muh dhanp ke so jate thenarm rau waqt ke dhare pe safine the ravansahil-o-bahr ke aain na badalate the kabhinakhudaon pe bharosa tha muqaddar pe yaqinchadar-e-ab se tufan na ubalate the kabhihum ke tufanon ke pale bhi sataye bhi hainbarq-o-baran mein wo hi shamen jalayen kaiseye jo aatishkada duniya mein bhadak uttha haiaansuon se use har bar bujhayen kaisekar diya barq-o-bukharat ne mahashar barpaapne daftar mein litafat ke siva kuch bhi nahighir gaye waqt ke beraham kashakash mein magarpas tahazib ke daulat ke siva kuch bhi nahiye andhera ye talatum ye hawaon ka kharoshis mein taron ke subuk narm ziya kya karatitalkhi-e-zist se kadava hua aashiq ka mizajnigah-e-yar ke masum ada kya karatisafar aasan tha to manzil bhi badi raushan thiaj kis darja purasarar hain rahen apnikitni parachaiyan aati hain tajalli ban karkitne jalvon se ulajhati hain nigahen apni

Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Oh KhafelaQasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-MustafaSaath Main Zainab, Sakina Aur Ruhe-e-FatemaSayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki DuaKhafela Tha Eik, Laykin Do Thay Ruh-e-KhafelaEk Ali Ki Ladli Thi, Ek Ali Ka Laal ThaHaaie Oh Kis Shaan Sai, Nikle Thay Sui-e-KarbalaSaath Abbas-e-Jari, Qabze Main Tegh-e-MurtazaMarkaz-e-Taazim Theen, Do Hastiyan Har Ek KaApne Batoon Ku Fida, Bhai Pe Zainab Ne KiyaBhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal JudaSar Barehna Oh Chali, Oh Barsare Neza ChalaaSar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen KuNa Bahen Aysi, Na Aysa Bhai Hoga MominoJis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islaam KaSar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai KafanBhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mai RasanSar Kiya Donoon Nai, Mil Kar Karbala Ka MaarkaBhai Nai Chae Maah Kai Bache Ki Mayyat Ghaar KarEk Nayi Tarikh Likhi Karbala Ke Khaak ParShukar Ka Sajda Jawan Baite Ke Mayyat Par KiyaThi Rasan Basta Bahen Laykin Jalalat Al-AmaanKhutba-e-Zainab Sai Larzan Thai Zameen-o-AasmaanRakh Diya Takhta Palat Kar, Jis Nai Mulk-e-Shaam KaBhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltan Aur Zindaan Mai BehanAabrou-e-Mustafa Ek, Aabrou-e-PanjatanDourta Tha Jism Main Donoon Kai Sheer-e-SayyadaTashat Main Bhai Ka Sar, Zainab Bahr-e-Darbar MainKoie Bhi Insaan Nahi Tha Lashkar-e-Kuffar MainKhaak Madfan Main, Uratai Thai Nabi-e-Dosra

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,Use Mera ya Mujhe Uska Karde.Bahut Dukh Sahe He Maine,Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,Judai Ke Safar Ko Kum Karde.Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,Use Utna Kareeb Karde.Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaayeTere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye.Aag suraj main hoti hai ,Jalna dharti ko padta hai mohabbat aankhen karti hain ,tadapna dil ko padta haiAnkhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti haiPhool hun Gulaab kaChameli ka mat samjhnaAashiq hun aapkaApni Saheli ka mat samjhnaDur Humse Jaa Paoge Kaise,Humko Bhool Paoge Kaise.Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,Yun Kisika Peecha Hum Nahin KarteRONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DEBAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DEHAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGAHAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaayetere ishq mein meri jaan fanaa ho jaayeadhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hammagar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham..Download All Shayari’

Plz open ur eyes, so the Sun can rise, Flowers can blossom,Birds can sing, as all r waiting to see a beautiful SMILE in ur face & say Good Morning.`Utho aalsiyo aur Desh ka kuch bhala karo..jago.achcha tum ho kya,.Sorry yaar tum to wapas so jao usi me Desh ka bhala hai.`Aanko me Khushi labo par hansi,gam ka kahin naam na ho,har SUBAH laye aapke liye itni Khushiya.jiski kabhi sham na ho.`Namskar- ye hamari ‘surya uday’ sms sewa hai,isme hum soe hue logo ko bewaqt jagate hai aur baad me good morning keh ke khud so jate hai.Good day.`Raat ne chadar samet li hai,Suraj ne kirne bikher di hai,chalo utho aur thanks karo apne Bhagwan ko.jisne hume ye Pyari si subah di hai. Good Morning`Har Nayi Subah Ka Naya Nazara,thandi Hawa Leke Aayi Paigaam Hamara.Jaago,Utho,Taiyaar Ho Jao,Khushiyo Se Bhara Rahe Aaj Ka Din Tumhara`khuda kare har raat chand banke aaye,har din nayi shan banke aaye,kabhi dur na ho aapke chahre se hansi,naya din aisa mehman banke aaye..Gud Day`Savere savere ho khushiyo ka mela,na logo ki parwah na duniya ka jhamela,Panchiyo ka sangit ho aur ho mausam alabla,mubarak ho aapko ye khusurat savera.Good Morning`Subah-Subah ek paigam dena hai,Apko subah ka pehla salam dena hai,Guzre sara din apka khushiyo me apkisubah ko khubsurat sa naam dena hai.very vert Good Morning`Subah k phool khil gaye, panchi apne safar pe ud gaye,suraj aate hi taare chhup gaye,kya tum bhi apni meethi neend se uth gaye..Good Morning.

Bari mudat sey chaha hey tumhainBari duaoon sey paya hai tumhain.Tumhain bhulaaney ka socho b kaseyKismat ki lakiron se churaya hai tumhain.!!`Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum LogLamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum LogTu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar SaaqiJeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log.`Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi BohotIs Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na KiLafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki.`Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke PehraJee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad AyeNagahan dil kisi baat par aesa dukha,Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye.`Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona PyaareTum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa PyaareAao Mil Kar Dukh Ke Lamhe KaatenIk Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare.`Rota Hun To Ahbaab Bura Maante HainHansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante HainHar Haal Mai Aetiraaz Karne WaaleNadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain.`Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki SuratWo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi HaiYeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab HaiPaana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..`Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki WeeraaniyanYaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne ZindaganiyanGuzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab DostSath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..`Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte HainHum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte HainGhamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo AmjadKisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..`Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati HaiAhsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati HaiMai Barhta Hun Zindagi Ki Janib LekinZanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..

दरिये ने भी क्या ख्वाइश की है,आँखों को शर्म आये कुछ ऐसी बात की है |होठों पर मुस्कान दिल बहला देती लेकिन,कातिल है ‘मसरूर’ उसकी नज़र ने मोहब्बत की बात की है |सच तो कह ज़रा आइना रोज़ बदलता है,टूटे हुए शीशे ने आज ज़िन्दगी की बात की है |बेवफाई का ज़माना किसे अपना ना समज,मस्जिद में आज खुदा ने फरेबी की बात की है |

Usne chaaha bhi to izhaar karna na aaya., Kat gayi umrr saari magar hamein pyaar karna na aaya.; Usney maanga bhi kuchh to judaai maangi., Aur hamein ikk inkaar karna bhi na aaya..!!!`Kismat par aitbar kisko hai, Mil jaye khushi inkaar kisko hai, Kuch majburian hain mere dost, Warna judai se pyaar kisko hai`Kabhi kisise pyaar mat karna, Ho gaya to inkaar mat karna, Nibha sake to chalna uski raah par, Varna kisiki zindagi barbaad mat karna!!`Kisi ko kisi se dil mila.. Kisi ko Kisi se pyaar mila.. Hamari kismat aisi hai ke humein aapse sirf INKAAR mila.`Nazar nazar se milane mein dar lagta hai, Mehboob ke inkaar se dar lagta hai, Wo khele mere dil se kuch is tarah, Ki ab to husan -e -aaftaab se dar lagta hai!!`Boy says : – Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound, Lekin aaj tum mili to kehti ho: Your file not found! Girl says : – Aisa bhi nahin hai ke, I don’t like your face , Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space`Unko chaha bhi to izahaar na karna aaya, Kat gayi umar hame pyaar na karna aaya, Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi, Aur hum the ki hume inkaar bhi na karna aaya !!!`Yaado Ka Matlab Ikarar Nahi Hota Khamoshi Ka Matlab Inkar Nahi Hota Ek Nazar Milte Hi Nazar Nazar Se Har Nazar Ka Matalb Pyar Nahi Hota`Har Chup Ka Matlab Inkar Nahi Hota Har Chup Ka Matlab Izhar Bhi Nahi Hota Nazre Toh Milte Hai Sabse Par Har Nazar Pyar Nahi Hota`Kisi dard ko sambhal pana aasan nahi, Haste hue pal ko sambhal pana aasan nahi,.`Usko Chaha Par Izhar Karna Nahi Aaya, Kat Gai Umar Hame Pyaar Karna Nahi Aaya. Usne Kuch Maanga Bhi To Mangi Judai, Aur Hame Inkaar Karna Nahi Aaya.`Hum unke pyar me PAGAL ho gaye,woh hamare pyar me SYANE ho gaye.. Humne unke pyar me SHAADI nahi ki, or unke 2 NYANE ho gaye.

Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo NeKale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo NeNajar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat MeinAdaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat MeinHum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat MeinYahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat MeinKhuda Saval Karega Agar Qyamat MeinTo Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat MeinVahi Vahi Pe Qyamat Ho Vo Jidhar JayeJuki Juki Hui Nigah Se Kaam Kar JayeTadapata Chod De Raste Me Aur Gujar JayeShitam To Ye He Ki Dil Le Le Aur Mukar JayeSamaj Me Nahi Aata Ki Ham Kidhar JayeYahi Irada He Ki Yah Kah Kar Kam Mar JayeVafa Ke Nam Pe Mara He Be-Vafaao NeKe Dam Bhi Na Lene Diya Is Jafaao NeKhuda Bhula Diya He Is Husn Ke Khudaao NeMita Ke Chhod Diya He Ishq Ki Khataao NeUdaaya Hosh Kabhi Zulf Ki Havaao NeKhayal-E-Naaz Ne Luta Kabhi Adaao NeHajaro Lut Gaye Najaro Ke Ek Isare ParHajaro Bah Gaye Toofan Ban Ke Dharo ParNa Inake Vaaso Ka Thik He Na Baato KaFasana Hota He Inaka Hajar Rato KaBahut Hasin He Vese To Bhol Pan InakaBhara Huaa He Magar Zahar Se Badan InakaYe Jis Ko Kaat Le Vo Pani Pi Nahi ShakataDavato Kya Duaao Se Bhi Jee Nahi Shakata HaiInahi Ke Mare Huye He Ham Bhi Jamane MeinHe Chaar Labz He Mohabbat Ke Fasane MeZamana Inako Samajata He Nek Aur MasoomMagar Ye Kese He Kya He  Kisi Ko Kya MaloomInahe Na Tir Na Talavar Ki Jarurat HeShikar Karane Ko Nigahe Ulafat HeHasin Chalo Se Dil Paayamaal Karate HaiNajar Se Karate He Bate Kamaal Karate HaiHar Ek Bat Me Matalab Hazar Hote HaiYe Sidhe Sade Bade Hoshiyaar Hote HaiKuda Bachaye Hasino Ki Tez Chalo SePade Kisika Bhi Pala Na Husn Valo SeHusn Valo Me Mohabbat Ki Kami Hoti HeChahane Valo Ki Takadeer Buri Hoti HeUnaki Bato Me Banavat Hi Banavat DekhiSharm Aankho Me Nigaho Me Lagavat DekhiAag Pahale To Mohabbat Ki Laga Dete HaiApane Rukhsaar Ka Deevana Bana Dete HaiDosti Kar Ke Fir Anzaan Najar Aate HaiSach To Ye He Ki Be-Imaan Nahar Aate HaiMoute Kam Nahi Duniya Me Mohabbat InakiJindagi Barabad Hoti He Badolat IunakiDin Baharo Ke  Gujarate He Magar Mar Mar KeLoot Gaye Hum To Hasino Pe Bharosa Kar Kar Ke

Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte HainYe Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte HainSunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa HaiSitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain(Baam-E-Falak : Terrace Of The Horizon)Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si AankhenSunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte HainSunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati HainSunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte HainSunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us KiSunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain(Kaakul : Tresses)Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat HaiSo Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain(Surmaafarosh : Kohl Vendors)Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte HainSo Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte HainSunaa Hai Aa’inaa Tamsaal Hai Jabiin UskiJo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte HainSunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan MeinMizaaj Aur Hii Laal-O-Gauhar Ke Dekhte Hain(Hamaail : Something To Wear Around The Neck)Sunaa Hai Chashm-E-Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan MenPalang Zaave (?) Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain(Chashm-E-Tasavvur : Eyes Of Imagination)Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise HainKe Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain(Qabaayen : Tunic)Vo Sarv-Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad NahiKe Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain(Sarv-Qad : Tall And Graceful; Shaguufe : Bud; Samar : Fruit)Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil KaSo Rah-Ravaan-E-Tamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain(Rah-Ravaa.N : Travellers)Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai BahishtMakiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain(Shabistan : Bedroom; Muttasil : Near; Makiin : Tenant)Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti HainChale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain(Gardish : Time)Kise Nasib Ke Be-Pairahan Use DekheKabhii Kabhi Dar-O-Diivaar Ghar Ke Dekhte Hain(Be-Pairahan : Without Clothes)Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi SahiiAgar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain(Mubaalage : Beyond One’s Limits)Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen“Faraz” Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain

Mirza Asad Ullah Khan GhalibYe Na Thi Hamari Qismat, K Visaal-E-Yaar HotaAgar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar HotaTere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot JanaK Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar HotaRug-E-Sung Say Tapakta, Wo Lahoo K Phir Na ThumtaJese Ghum Samajh Rahay Ho, Ye Agar Sharaar HotaKahoon Kiss Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Ghum Buri Bala HaiMujhay Kya Bura Tha Marna, Agar Aik Baar HotaHuwe Mar K Hum Jo Rusva, Huwe Kyun Na Gharq-E-DaryaNa Kabhi Janaza Uth’ta, Na Kahin Mazaar HotaYe Masail-E-Tasav’vuf, Ye Tera Bayan “Ghalib”Tujhay Hum Wali Samajhte, Jo Na Baada Khuwar HotaUrdu Version:یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتااگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتاکوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کویہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتاغم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہےغمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتامرزا اسد اللہ خان غالب