Log pathar ko bhe khuda maan kar masoom he rahy GURTEJ
Hum ne ak insan ko chaha to gunahgar hogae

Koi Chehrey Ka Deewana Koyi Ikhlaas Ka Talabgar
Adaaien Peecha Karti Hain Mohabbat Kaun Karta Hain

nikal raha tha subah tak mere hontoon se lahoo
raat ko is qadar chooma tha teri tasveer ko main ne

Tujh ko maloom bhe hai kitna talabgar hoon tera
Pochh un farishton se jo roz likhty hain duaa meri

Kab Ka Chor Diya Hum Ne LOgoN K Pe Peche Chalna
Jisse JitnI Mohabbat Ki, UsNe Utna Gira Huwa Samjha

~"KaaSh Koi Aisa Gunaah Ho JaYe Mujh Se"~
~"JiSs Ki SaZaa Sirf Or Sirf Wo Ho "~

Aziyat Bana Raha Tamam Umar Yehi Aik Sawal
Sab Ka Sath Nibhany Walay Khud Kyun Tanha Reh Jatay Hain

Hum ne Mohabbat me kiya kuch nhe loota dya GURTEJ
Ussy pasand thi roshni or hum ne khud ko jala dya

Ta ujub hai teri gahri Mohabbat pe WASI
Wo tery rooh me basa hai or tu us k waham o guman me bhi nhe

Us k kahny pe us ki tamana bhe chhorr di hum ne
Zara hum bhe to dekhen kon chahta hai usy humari tarh

Mainy to thori si jaga mangi thi us k dil me MOHSIN
Us ne to tanhayon ka pura shaher mery naam kardya

Apny he hoty hain jo dil pe war karty hain GURTEJ
Warna gheron ko kiya khabar k dil ki jaga kon si hai

Hum se ak mukhlis sa yar bhulaya nhe jata GURTEJ
Log kitny jigar waly hain naya Mahboob bana lety hain

Bahot si batein sonch rakhkhi hain tumhein sunane ke liye
Par ek tum ho ke aate hi nahi manane ke liye.

Agr 2 qadam sath chalna he to zara sanbhal k chalna
Hum DOSTI or DUSHMINI me Qabar tak sath chalty hain