Aap Ke Baad Yeh Mehsoos Hua Hai Humko; Jeena Mushkil Nahi Aur Marna Bhi Dushwaar Nahi

Na Jaane Kis Ke Muqadar Mein Likhe Ho Tum Magar Yeh Such Hain Ke Umeedwar Hum Ajj Bhi Hain

Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Kee Tehreer Parho; Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee

Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai; Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai

Humne To Kho Di Thi Saab Chahat Ki Aas; Unhone Pyaar-e-Izhrar Karke Hum Mein Jinne Ki Arzoo Bhar Di

Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua; Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua; Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum; Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua

Gulab Ki Mehak Bhi Fiki Lagti Hai; Kaun Si Khushbu Mujhme Basa Gayi Ho Tum; Zindgi Hai Kya Teri Chahat Ke Siva; Yeh Kaisa Khwab Aankhon Ko Dikha Gayi Ho Tum

Khamosh They Hum To Magroor Samaj Liya; Chup Hai Hum To Majboor Samaj Liya; Yehi Aap Ki Khushnasibi Hai Ke Hum Itne Qarib Hain; Phir Bhi Aap Nay Door Samajh Liya

Aaj Muddat Baad Unhone Mohabbat Ka Izhaar Kiya; Aur Humne Unmein Raab Ka Deedar Kiya

Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Teri Jo Tu Raazi Hua; Mujh Pe Goya Ik Zamaana Mehrbaan Ho Jaeega

Tum Ko De Di Hain Ishaaron Mein Ijaazat Maine; Mangne Se Na Mil Sakun Toh Chura Lo Mujh Ko

Rail Ki Seetti Mein Kese Hijr Ki Tamheed Thi; Us Ko Rukhsat Karke Ghar Lotay To Andaaza Hua

Tum Mujhe Rooh Mein Basa Lo Toh Achha Hai; Yeh Dil-O-Jaan Ke Rishte Aksar Toot Jaya Karte Hein

Uski Hansi Mein Chupe Dard Ko Mehsus Kar Dost; Woh Kyu Yunhi Hans-Hans K Khud Ko Saza Deta Hai

Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin 894; Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai