Saza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hoon Mein; Tham Lo Mujko Ghamon Se Choor Hoon Mein; Tere Pyar Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe; Aur Logon Ka Kehna Hai K Maghror Hoon Mein

Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte; Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Nahi Sakte; Hamare Girte Hue Aansuon Ko Pad Kar Dekho; Woh Bhi Kehte Hai Ke Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte

Yaadon Ki Dhundh Me Aapki Parchaai Si Lagti Hai; Kaano Me Goonjti Shahnaai Si Lagti Hai; Aap Kareeb Hai To Apnapan Hai; Varna Seene Me Saans Bhi Paraai Si Lagti Hai

Chaand To Nikla Hai Magar Ye Raat Na Hai Pehli Si; Ye Mulakat Mulakat Na Hai Pehli Si; Ranj Kuch Kam To Hua Aaj Milne Se; Ye Alag Baat Hai Ke Ye Baat Na Hai Pehli Si

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho; Meri Ragon Mai Zehar Judaai Ka Utarta Dekho; Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se; Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho

Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata; Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata; Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar; Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata

Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya Hai Pyaar; Kuch Ne Darr Kar Kuch Ne Josh Mein Kiya Izhar; Magar Bina Bole Jab Do Dil Keh Jayein Dil Kee Baat; Wahi Hai Nazar Ka Nazar Se Saccha Iqraa

Dil Mein Ab Yun Tere Bhoole Hue Gham Aate Hain; Jaise Bichde Hue Kaabey Mein Sanam Aate Hain; Ik-Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Diye Taarey Roshan; Meri Manzil Ki Taraf Jab Tere Kadam Aate Hain

Khyayyal Mein Woh Besurti Mein Woh; Aankkon Mein Woh Aksh Mein Woh; Khushi Mein Woh Dard Mein Woh; Aab Mein Woh Sharab Mein Woh; Labh Mein Woh Behisaab Mein Woh; Mere Abb Ho Lo Ya Jaan Meri Lo

Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe; Maza Kahne Ka Jab Hai Ik Kahe Aur Doosre Samjhein; Kalaam-e-Mir Samjhe Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe; Magar Inn Ka Kaha Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe

Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe; Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe; Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya; Tamam Umar Ishq ki Justju Main Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe Translation: Khushi ke Moti: Teeth