Shair Kisi Ke Hijr Main Kehnaa Sirf Visaal Kisi Se; Hum Bhi Kya Hain Dheyaan Kisi Ka Aur Sawal Kisi Se

Tujhe Sochun Toh Pehlu Se Sarak Jata Ha Dil Mera; Mein Dil Pe Haath Rakhkar Dhadhkano Ko Thaam Leta Hun

Yeh Bahein Humein Jab; Apni Panahon Mein Bulathi Hein; Humein Apni Kasam Hum; Har Sahara Bhool Jatey Hain

Paas Hote Hain Jab Wo Mere Toh Koi Mozu-E-Guftagoo Nahi; Door Hote Hain Toh Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai

Ghar Se Nikal Pade Hain Awaargi Uthaa Kar; Hum Ko Yahi Bahut Hai Asbaab Is Safar Mein Translation: Asbaab = Luggage

Woh Jo Muskura Ke Mila Kabhi; Toh Yeh Fikr Jaise Mujhe Hui; Kahun Apne Dil Ki Jo Baat Main; Kahin Muskura Ke Na Taal De

Mila Karo Humein Aksar Ke Jee Nahi Lagta Tumhare Bin; Tumhaare Raabte Se Zindagi Wajood Mein Hai Meri Raabte: Connection

Saray Raah Jo Unsay Nazar Mili; To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye; Hum Nazar Mila Kar Jhijag Gaye; Vo Nazar Jhuka Kar Chale Gaye

Kaash Woh Ayein Pyaar Ka Izhaar Karne Meri Kabr Par - Ik Din; Phir Mein Bhi Ik Aur Zindagi Ki Duwa Maangu Unpe Nijhawar Karne Ke Liye

Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane 894; Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane 894; Keh Diya Main Ne Hal­e ­Dil 894; Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane

Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha; Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha; Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha; Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei; Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho; Hum Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal; Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho

Sehmi-2 nigahon mein khwab hum saja denge Suni suni rahon pe phool hum khila denge Aap hamare sung muskura kar to dekho Aap har gam bhula denge

Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti; Kaash Aapse Mulaqat Hamaari Na Hoti; Sapno Mein Hi Dekh Lete Aapko; To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti

Kash Hamari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti; To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti; Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Hamein; To Hamse Bhi Kisi Ne Mohabbat Ki Hoti