mere jaise ban jaoge jab ishq tumhen ho jayegadeewaron se sar takaraoge jab ishq tumhen ho jayegahar baat gavara kar loge mannat bhi utara kar logetabizen bhi bandhavaoge jab ishq tumnhen ho jayegatanhai ke jhule khulenge har baat purani bhulengeaaine se tum ghabaraoge jab ishq tumhen ho jayegajab suraj bhi kho jayega aur chand kaheen so jayegatum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jayegabechaini bad jayegi aur yaad kisi ke aayegitummeri gazalen gaoge jab ishq tumhen ho jayegaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi

Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho JayeChiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho JayeKabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho JayeTumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho JayeAjab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya AkhirMohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho JayeSumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum KoHawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho JayeMujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho GaParinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho JayeUjalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay DoNajanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia KhaberKitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia KhaberMudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata NahiChah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia KhaberWoh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir KayeeAur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia KhaberWoh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh HaiKon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia KhaberUsko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se KahoUski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khabe

chandani rat mai chand ke samanerukh se parda hatana gazab ho gayachandani chup gai chand sharma gayaaap ka muskurana gazab ho gayadil ke dhadakan meri tez hone lagirat aankhon mai kanten chubhone lagivasl ke rat mai bat hi bat maiyun tera ruth jana gazab ho gayajhum kar kali kali ghata jab uthirat apani to karavat badalate katikuch to mausam ne bechain rakkha hamenkuch tera yad aana gazab ho gayaapne hisse mai tufan ke taqadir thizindagi apani maujon ke zanjir thidub jane ka apne hamen gam na thaus ka sahil pe aana gazab ho gayaPoet of the poem/ghazal or Nazam: Shevan Bijnauri

Sherminda Jis Se Chand Hai Suraj Hai Gehun MianAisa Haseen Phool Hai Aik Mere Chaman MainJulwo Se Jis Ke Roshni Taroo Ko Mile HaiShadabi Jis Ke Dum Se Baharo Ko Mile HiaRehta Hon Magun Mian Tu Sada Iski Lagan MianAisa Haseen Phool Hai Aik Mere Chaman MianMian Jab Bhi Iski Bahon Per Sar Rakh Ke Sogaya HaiDuniya Ke Ruj O Ghum Se Bhot Dor HogayaMehsos Howa Chain Mujhe Ghum Ki Chubun MianAisa Haseen Phool Hai Aik Mere Chaman MainMehbob E Zindagi Hia Wo Tasveer Pyar KiPaye Hai Mere Khawabo Ne Tabeer Pyar KiChahat Ke Sare Rung Mile Meri Dulhan MianAisa Haseen Phool Hai Aik Mere Chaman Mian

Ab Koi Chaand Mera Hai Na Sitaara Yaaro!Ab Kahan Jaaounga Mein Dard Ka Maara Yaaro!Mujhko Tufaan Mein Rehne Ki Bohat Aadat HaiMujh Ko Le Jao Na Saahil Pe Khudara Yaaro!Dard Ki Raah Mein Tum Chaloge Kab TakAbhi Kar Sakte Ho Tum Humse Kinaara Yaaro!Jis Se Jalte Hain Mere Apnoun Ke Dil Bazm MeinChaidtey Kyoun Ho Wohi Qissa Dobara Yaaro!Hum Ne KhudDaari Ki Taarikh Raqam Kar DaliDoobtey Waqt Kissi Ko Na Pukaara Yaaro!Raat Andhere Mein Mere Ghar Ko Jalaya Kis NeMujhko Yeh Kaam Bhi Lagta Hai Tumhara Yaaro!Hum Na Honge Tou Bohat Yaad Karoge HumkoNaam Likh Likh Ke Mitaaoge Hamara Yaaro….!

faqirana aaye sada kar chalemiyan khush raho hum dua kar chalejo tujh bin na jine ko kahate the humso is ahd ko ab wafa kar chalekoi naummidana karte nigahso tum hum se muh bhi chipa kar chalebahot aarzoo thi gali ki teriso yan se lahu mein naha kar chaledikhai diye yun ki bekhud kiyahamen aap se bhi juda kar chalejabin sajada karte hi karte gaihaqebandagi hum ada kar chaleparastish ki yan tain ki ayei but tujhenazar mein sabon ki khuda kar chalegai umr dar bandefikregazalso is fan ko aisas bada kar chalekahen kya jo puche koi hum se “meer”jahan mein tum aaye the, kya kar chalePoet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Mee

Taarif Main Jinki Shabd Hi Kho JaayeinKaise Karein Tarrif Unki Aap Hi Bataayein.Dil Ki Hasraton Ko Jisne  Pura Kar DiyaUnkahe Lafzon Ko Jisne Sun LiyaYe Gujaarish Hai MohbbatEFarishte SeMeri Jindagi Se Door Na Jaayein.Dil Ki Hasratono Ko Aaj  Bayaan Kar Deti HunYe Jindagi Aaj Unke Naam Kar Deti HunYe Gujaarish Hai MohbbatEFarishte SeChand Sitraaon Se Meri Maang Sajaayein.Dua Maangi Hai  Unka Saath Rahe Umr BharSamtetlein O Mughe  Apni Baahein BharYe Gujaarish Hai MohbbatEFarishte SeO Rahein Palkon Ke Saamne Aur Saasein Simat Jaaein.Pyaiar Main Jiske Jindagi Hi Rang JaayeKaise Karein Tarrif Unki  Aap He Bataayein.

main ne jo git tere pyar ki khatir likkheaj un giton ko bazar mein le aaya hunaj dukan pe nilam uthega un katune jin giton pe rakkhi thi muhabbat ki asasaj chandi ki tarazu mein tulegi har cheezmere afakar meri shayari mera ehasasjo teri zat se manasub the un giton komuflisi jins banane pe utar aayi haibhuk tere rukherangin ki fasanon ki ivazchand aashiyaezarurat ki tamannai haidekh is arsagahemehanatosarmaya meinmere naghmay bhi mere pas nahi rah sakatetere jalve kisi zaradar ki miras sahitere khake bhi mere pas nahi rah sakateaj un giton ko bazar mein le aaya hunmain ne jo git tere pyar ki khatir likkhePoet of the poem/ghazal or Nazam: Sahir Ludhianvi

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand DekhonTum Yaad Aatey HonJab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran DekhonTo Tumhari Muskurahat Yaad Aati HaiJab Kabhi Souraj Ko Dhalta DekhonTo Tumharey Gham Yaad Aatey HainJab Kabhi Parindon Ki Chechahat SunooTo Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai DayJab Kabhi Gulab Ko Khilta DekhonTo Tumharey Labb Yaad AayenJab Kabhi Barstey Badal DekhonTo Tumhari Yaad Main Doobi,Woh Shaam Yaad AayeJab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara KaronTo Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad AayeJab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko DekhonTo Tumhari Piyasi Ankhin Yaad AayeJab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko DekhonTo Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye

Koi Chaudhwein Raat Ka Chand Ban KarTumharay Tasawur Mein Aya To Hoga,Kisi Se To Ki Hogi Tum Ne MuhabbatKisi Ko Galay Se Lagaya To Hoga,Tumharay Khayalon Kay Agan Mein MeriYaad Ke Phool Mehkay To Hon Gay,Kabhi Apni Ankhon Ke Kajal Se Tum NeMera Naam Likh Kar Mitaya To Hoga,Labon Se Muhabbat Ka Jadu Jaga KarBhari Bazm Mein Sab Se Nazarein Bacha KarNigahon Ki Raahon Se Dil Mein Sama KarKisi Ne Tumhein Bhi Churaya To Hoga,Kabhi Ainay Se Nigahein Mila KarJo Li Hogi Bharpur Angraeiyan Tu NayTo Ghabara Ke Khud Teri Angraiyon NeTere Husn Ko Gudgudaya To Hoga,Nigahon Mein ShamaETamana Jala KarTaki Hongi Tum Ne Bhi Rahein Kisi KiKisi Ne To Wada Kia Hoga Tum SeKisi Ne Tumhein Bhi Roolaya To Hoga…!

chand ke sath kai dard purane nikalekitane gam the jo tere gam ke bahane nikalefasle gul aayi phir ik bar asiranevafaapne hi khun ke dariya mein nahane nikalehijr ki chot ajab sangshikan hoti haidil ke befaiz zaminon se khazane nikaleumr guzari hai shabetar mein aankhen malatekis ufaq se mera khurshid na jane nikalekueqatil mein chale jaise shahidon ka juluskhvab yun bhigati aankhon ko sajane nikaledil ne ik int se tamir kiya taj mahaltu ne ik bat kahi lakh fasane nikaledashte tanhaiehijran mein khada sochata hunhaye kya log mera sath nibhane nikalemain ne ‘amjad’ use bevasta dekha hi nahiwo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikalePoet of the poem/ghazal or nazam : Amjad Islam Amjad

Suno Ay Chand Say SathinAbhi Tum Keh Rahay Thay NanTumhain Mujh Say Mohabbat Ho Nahin SaktinChalo Maana K Yeh Sach HainMagar Ay Chand Say Sathi Mujhay Itna Batao TumnK Jab Mausam Badaltay HainGulon Main Rang Bhartay HainnTo Phir Kiun Muztarib Ho KernAkelay Pan Say Ghabra KrnHawa Ko Raz Detay HonMujhay Aawaz Detay HonSuno Ay Chand Say SathiTumharay Samnay Koe Mera Jab Naam Leta HainTo Phir Kiun Chonk Jatay HonChalo Maana Tumhain Mujh Say Mohabbat Ho Nahin SaktinMagar Itna Samajh Lo TumJahan Chahat Nahin HotinWahan Nafrat K Honay Ka Koe Imkaan Nahin HotanMera Daawa HainChahat Main Jahan Nafrat Nahin HotinWahan Aksar Yeh Dekha HaiAgar Kuch Waqt Kat JayeSamay Ki Dhool Chat JayeTo Wehshat Bhaag Jati HaiMohabbat Jaag Jati Hai !!!!

Wo koi aur na tha chand khushk patte theshajar se toot ke jo faslegul pe roye theabhi abhi tumhen socha to kuch na yaad aayaabhi abhi to hum ekdusare se bichde thetumhare bad chaman par jab ik nazar dalikali kali mein khizan ke chirag jalate thetamam umr wafa ke gunahgar raheye aur baat ki hum aadmi to ache theshabekhamosh ko tanhai ne zaban de dipahad gunjate the dasht sansanate thewo ek bar mare jin ko tha hayat se pyarjo zindagi se gurezan the roz marate thenaye khayal ab aate hain dhal ke zahan meinhamare dil mein kabhi khet lahlahate theye iratiqa ka chalan hai ki har zamane meinpurane log naye aadmi se darate the‘nadeem’ jo bhi mulaqat thi adhuri thiki ek chehare ke piche hazar chehare thePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi

chand sitaron se kya puchun kab din mere phirate hainwo to bechare khud hain bhikari dere dere phirate hainjin galiyon mai hum ne sukh ke sej pe raten kati thinun galiyon mai vyakul hokar sanjh savere phirate hainrupsarup ke jot jagana is nagari mai jokhim haicharon khunt bagule ban kar ghor andhere phirate hainjin ke shambadan saye mai mera man sustaya thaab tak aankhon ke aage wo bal ghanere phirate hainkoi hamen bhi ye samajha do un par dil kyon rijh gayatikhi chitavan banki chab vale bahutere phirate hainis nagari mai bag aur ban ke yaro lila nyari haipanchi apne sar pe uthakar apne basere phirate hainlog to daman si lete hain jaise ho jee lete hain‘abid’ hum divane hain jo bal bikhere phirate hainPoet of the poem/ghazal or nazam : Abid Ali Abid