Badi Matlabi Duniya Hai DostThodi Si Jeb Kya Dhilee Ho GayiHum Se Rista Hi Tod LiyaAur Jaate Jaate Wo iya Keh GayiMohabbat Mujhey Un Jawano Se HaiJo Khatey Peetey Gharano Se Hain

Duniya Ki Bato Me Hume Na Bhula DenaYad Aaye To Jra Sa Muskura DenaJindgi Rhi To Milnge Jrur WarnaDiwali Pe Ek Diya Mere Nam Ka B Jala Dena

Koshish Koi Karke To Dekhe,Sapney Sachchey Bhi Hote Hain,Ye Duniya Itni Buri Nahin,Yahaan Log Achhe Bhi Hote Hain

Itni Badi Duniya Me Koi Sahara NahiApno Ki Bheed Me Koi Hamara NahiKadam Ladkhdaye To Unka Daman Tham LiyaWo Bhi Haskar Bole Dost Ye Daman Tumhara Nahi

Koi Dukh Na Ho Koi Ghum Na HoKoi Aankh Kabhi Num Na HoKoi Dil Kisi Ka Tore NaKoi Sath Kisi Ka Chore NaBas Piyar Ki Nadiyan Behti HoKaash K Duniya Aisi Ho…

Mohabbat Kya Hai Hum Se Pooch!Nafrat Kya Hoti Hai Hum Se Pooch!Hum To In Duniya Waloon Se Waqif HainDuniya Kya Cheez Hai, Hum Se Pooch!

Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin DiyaDaman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin DiyaTanhaian Tumhara Pata Pochti RahinShab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin DiyaDil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz TheDunya K Koi Gham Samone Nahin DiyaNasir Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham KerMele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya

Phir chedi raat baat phoolon keraat hai yan barat phoolon kephul ke har phul ke gajaresham phoolon ke raat phoolon keaap ka sath sath phoolon kaaap ke baat baat phoolon kephul khialte rahenge duniya meinroz nikalegi baat phoolon kenazaren milati hain jam milate hainmil rahi hai hayat phoolon keye mahakati hui gazal “makhdoom”jaise sahara mein raat phoolon kePoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Makhdoom Moinuddin

Tum jo pal ko thahar jao to ye lamhen bhiaanevale lamhon ke amanat ban jayentum jo thahar jao to ye rat, mahatabye sabza, ye gulab aur hum donon ke khwabsab ke sab aise mubaham hon ki haqiqat ho jayentum thahar jao ki unavan ke tafasir ho tumtum se talkhieauqat ka mausam badleraat to kya badalegi, halat to kya badlengetum jo thahar jao to meri zat ka mausam badlemaharban ho ke na thaharo to phir yun thaharojaise pal bhar ko koi khvabetamanna thaharejaise daraveshemadanosh ke pyale mein kabhiek do pal ke liye talkhieduniya thaharethahar jao ke madarat maikhane sechalte chalte koi ekadh subu ho jayeis se pahale ke koi lamha aainda ka tiris tarah aaye ke pevastegulu ho jayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz

Ashq Woh Bhi Girnay Lagay HainPaigam Un K Bhi Aanay Lagay HainIqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh BhiJab Duniya Chor K Hum Janay Lagay Hain…

Koi Dukh Na Ho Koi Ghum Na HoKoi Aankh Kabhi Num Na HoKoi Dil Kisi Ka Tore NaKoi Sath Kisi Ka Chore NaBas Piyar Ki Nadiyan Behti HoKaash K Duniya Aisi Ho

Shabegam ae mere ALLAH basar bhi hogiraat hi raat rahegi ke sahar bhi hogimain ye sunata hun ke wo duniya ke khabar rakhte hainjo ye sach hai to unhen meri khabar bhi hogichain milane se hai un ke na juda rahane seaakhir ae ishq kisi tarah basar bhi hogiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi

mujhase bichad ke khush rehte homeri tarah tum bhi jhuthe hoik tahani par chand tika thamain ye samajha tum baithe houjale ujale phul khile thebilkul jaise tum hanste homujh ko sham bata deti haitum kaise kapade pahane hotum tanaha duniya se ladogebachon si baten karte hoPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Bad

Duniya Jise Kahate Hain Jaadu Ka Khilona HaiMil Jaaye To Mitti Hai Kho Jaaye To Sona HaiAchhaa Sa Koyi Mausam Tanaha Sa Koyi AalamHar Waqt Ka Rona To Bekaar Ka Rona HaiBarsaat Ka Baadal To Deewana Hai Kya JaaneKis Raah Se Bachna Hai Kis Chhat Ko Bhigona HaiGam Ho Ki Khushi Dono Kuchh Der Ke Saathi HainPhir Rasta Hi Rasta Hai Hansna Hai Na Rona Hai

Dukh ke jangal mein phirate hain kab se mare mare logjo hota hai sah lete hain kaise hain bechare logjivan jivan hum ne ag mein khel yahi hote dekhadhire dhire jiti duniya dhire dhire hare logsangat dene ko pate hain sanson ke iktare logis nagari mein kyon milati hai roti sapanon ke badlejinki nagari hai wo jane hum thahare banjare logPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhta