Iss Qadar Hajoom Ho Teri Zindagi Mein Khushion Ka Keh Gham Bhi Agar Guzarna Chahe To Usay Rasta Na Milay Amin

Yeh mohabbat bhi Aik naiki hai, Aao daryaa main daal aatay hain..!!

Teri Palkon Mein Rehna Hy Raat Bhar K Liye, Main To Ek Khwab Hun, Subha Hote Hi Chala Jaon Ga..!

Chalo acha hoa kaam aa gai diwangi apni, Wagarna hum zamane bhar ko samjane kahan jate.

Dil jahan le jaye, dil ke sath jana chahiye, Is se barrh kar aur koi rahnumaa nahi hota..

Ugta Hua Suraj Dua De Aapko Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aapko!

Ek Khushi Dil Ne Kia Maang Li Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi Din Raat Daudti Duniya Mein Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi Saare Naam Mobile Mein Hain Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi Gairon Ki Kya Baat Karen Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi Aankhon Me Hai Neend Badee Par Sone Ka Waqt Nahi Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi Paison Ki Daud Me Aise Daude Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi Tu Hi Bata E Zindagi Iss Zindagi Ka Kya Hoga Ki Har Pal Marne Walon Ko Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

Muskurahat, Tabasum, Hansi, Qehqahay, sab ke sab kho gaye, hum baray ho gaye..

Wo kahen bhi gea lota to mere pass aea, Bass yahi baat hai achi mere harjai ki.

Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari, Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..

ALLAH ray jism yaar ki khoobi kah hood bahood apni hooshi na aaya apni hooshi chalay

Aalmi* hai zubaan muskurahat ki, Yeh zubaan seekho, bohat kam ayegi.. (aalmi;universal)

Toot jayen na kahin pyaar ke nazuk rishte, Waqt zaalim hai har ik morr pe takraaye ga..

Wo mera naam hatheli pe likh k khosh hai bahot, K ye charagh mukhalif hawa nahin rakhata.