Chaand eid ka dilkash hai janta hoon, Hussn-e-janaan se magar haar jaye ga..

Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do, Ye Batao Eid Pe Yaad Karo Gey….??

Teri Yadoun Ki Hifazat Kesy Karun Mera Te Apna LeLa Koi Khol K Le Gaya..

Un ko dekha tou phir utra na geya Aasman tak hi raha eid ka chaand..

Mene yoon teri yaadein sambhaali hain, Jaise eidi ho mere masoom bachpan ki..

Kash iss eid ke haseen lamhon mein, Meri zaat-e-gumshuda tujhe yaad aye..

Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand, Pardes mein ankhen kayi namm hon gi..

Guzar gayi ye Eid bhi gham-e-zindagi ki tarhaa, Hota jo koi apni apna to ham bhi khushyaan manatey. .

Yun Teri Chatein Ambhali hein,Jaise Eidi Ho Mere Bachpan Ki..

Log Kehte Hain k EID Aayee Ha ? Tum Aajao to Yaqeen Aa jaye..

Tujhse bichhre to ab hosh nahin Kab chand hua kab eid huyi….

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan, Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan, Sab k bety jab aayen ge eid parh ke, Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan, Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein, Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan, Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar, Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan, Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe, Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan, Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan..

Eid ShayariUn Ko Dekha Tou Phir Utra Na GeyaAasman Tak Hi Raha Eid Ka Chaand..

Eid ki chooriyan le ao gi jab tum, Na ho koi pehnaney wala, to mujhe yad karna..

Dekha eid ka chand to mangi yeh rab se dua, Dede tera saath eid ka tohfaa samajh ke..