Ada Qatil, Nigah Qatil, Zuban Qatil, Bayan Qatil, Bata Qatil, Kahan Jaon? Jahan Jaon Wahan Qatil…

Agar woh pooch lein hum se, tumhe kis baat ka gham hai, To phir kis baat ka gham hai, agar woh pooch lein hum se..

Meri Fitrat Me Nahi Apna Ghum Bayan Karna, Agar Tere Wajood Ka Hissa Hoon To Mehsus Kr !!!

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun …. Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!

Khud-kushi aaj na kar, mumkin hai Kal ka din aaj se behter aaye…

Qaid e hayat o band e gham asal me dono aik hain, Moot se pehle admi gham se nijat pae kion.

Na din acha hai, na hal acha hai, Kisi jogi ny kaha tha k ye saal acha hai… Mainy pocha wo kb chahy ga mjy meri tarha, Bs muskura k keh diya sawal acha hai…

Aye gham-e-zindagi na ho naraaz, Mujhe ko aadat hai muskuraane ki..

Zamane bhar k gham ya ik tera gham, Ye gham ho ga to kitne gham na hon ge.

Lagta Hai Iss Baras Mohabbat Ho Hi Jaye Gi, Mainee Khawab Main Khud Ko Martay Dekha Hai.

Aap ki aansu mein ansuu dekh kar, Aaj apne gham ka andaaza huaa..

Ghamon Mein Mubtala Rakha Gaya Hai, Mujhe Mujh Se Judaa Rakha Gaya Hai..

Gham k samandarn me basar ki hai zindagi, Daya meri nighah me nahin raha.

Khareed loon ga teri saari udaasiyan, Sikkay mere mizzaj ke jis din chal gaye..

Ehsas Na Kar In Jazbon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin, Jeena Bhi Mujhy Dushwar Lagy, Itna To Nazar Andaz Na Kar…!!!