Shaheed’on ka lahoo ik dard hai, jis ki chamak dil mein.!! Kai chehray banati hai kai yaad’ein ugati hai..

Ye phool apni latafat ki daad paa na saka Khila zaroor magar khil k muskura na saka. !

Ay ishq Tujhay khudaa ka wasta, Ya yaar de Ya maar de…!!

Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat apni, Bin tere zindagi ki aukaat hi kya hai..

Ab to kuch apni tabiyat hi juda lagti hai, Saans leta hu to zakhamo ko hava lagti hai,… kabhi hum se razi to kabhi hum se khafa lagti hai, … Aye meri zindagi tuhi bata tu meri kya lagti hai.

Dil ke tootney se jo takleef huyi to huyi, Tamaam umar ka jo araam hua to khoob hua..

Yaron ! kachi umar ka pyar usay le doobaaa… Jo logon ko jeenay k andaaz sikhaya karta tha..

Kashti Bhi Na Badli Dariya Bhi Na Badla. Par Ham Dubne Walo Ka Jazba Bhi na Badla. Hai SHOK-E-SAFAR Aisa ek Umar se Hamne Manzil bi Na payi Or Rasta bi Na Badla.!

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main, Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nai Thi..

Ye ittefaq hai sab raah ki musafat k Chalay kisi k liye, jaa milay kisi k sath. . !

Meri talab tha ek shakhs wo jo nahi mila to phir, Hath dua sey yon gira, bhool gaya sawal bhi..

Koi Dhoond Aisa Humsafar Jo Tujhy Mujh Se Barh k Chah Saky Tu Kahe Tou Raat Ho Aur Wo Chanadni Luta Saky Tere Aansuo?n Ko Yun Samait Le K Koi Na Tujh Ko Rula Saky

Me mosam e khazan se talab kar raha hon rang, Shaid tarap k jaag uthe raat bahar ki.

Aye To Yun K Jaise Hmesha The Meharban, Bhule To Yun K Goya Kabhi Ashna Na They…

Ab to mujh ko bhi nidamat hai wafaa per apni, Mukhtlif kitna zamaane se mera challan tha..