Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai

Is Qadar Roya Main Sun k Dastan-E-Karbala, Main To Hindu Hi Raha, Aankhein Hussaini Ho Gayin… Rajinder Kuma

Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan Paani Phirta Hai Talash-E-Hussain Main

Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!! Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!! Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!! Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!!

Meezan e jahalat main gohar tol raha hai pemanaye tableegh main sab ghol raha hai gar Ya Ali kehne pe koi toke to samjho shaitan ki mehfil se koi bol raha hai

Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main

Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De

Fiza-e jannat main bhi hamaisha nasheest un hi saji rehay gi tamam ahlay wila ka mirkaz NABI(PBUH) ki bara dari rehay gi jo phool shakhoon say gir bhi jain to un say khushbo juda na ho gi jo hum marain bhi to zehan o dil main ALI(A.S) KI KHUSHBO BASI REHAY GI

Phely ye manzar pardha tha siraf, ab deka hy bansri bajti rahi, jalty rahy nezo ke ghar  

Ronay wala hoon Shaheed-e-Karbala key gham men main, Kya durey maqsad na dengey Saqiye Kausar mujhey

Leta Tamaam Kaam Woh Apne Wali Se Hy Nisbat Har Aik Imam Ki Noor-e-Jali Se Hay Kul Akhtiyaar De Diya HASSAN-o-HUSSAIN Ko Daita Khuda Zaroor Hay Par Milta ALI Say Hay