qabron main nahi hum ko qitabon main utaro hum log muhabbat ki kahani main mare hain

pakistan pakistan pakistan pakistan hay azmaton muhabaton ka nishan rooh e qaied ki azmaton ko salam ho jo na banate watan hum reh jate be nishan

?MERAY WATAN!!!? bus iss khayaal se zinda hain , tu humara hai jo tu raha na tow kuch nahi rahay ga jeenay main meray WATAN!!! tujhay kaisay yeh dhoop chatay gi hazaar MAA?ON k anchal hain teray seenay main

Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge, Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge, Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge, Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge..

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho, Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan, Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain, Aur Meri Maan, Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi, Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley, Tou Usey Kehna, Woh Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Kare, Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar, Mera Intizar Na Kiya Kare, Tum Meri Maan se Kehna, Woh Roya Na Kare…

yeh subaz halali percham, yehi mere pehchan mere ha shan, Qaid ki koshishoon ka inam, yeh mera payara Pakistan, mere yeh shan mere pehchan, Yeh mera payara Pakistan!

?Qadam Milaao? bachon agay qadam barhaao apnay parcham ko lehraao khaamoshi hai achi aadat par jab bolo rung jamaao yakjehti ka suraj chamkay ik doojay se qadam milaao KHALIQ hai saansaar ka woh hi USS ki AZMAT k gunn gaao ilam o amal ka pekar ban kar saari duniya par chaa jaao sach main sakoon sach main rahat jhoot se Aasi tum sharmaao

yadon ka aik jhonka aya hum se milne barson bad pehle itna roye nahi the jitna roye barson bad aj hamari khak pe duniya rone dhone behti hai phool huwe hain jane kaise itne saste barson bad bhol bhi jao kisne tora keyun tora kaise tora keyun dhond rahe ho dil ke tukre in galioun main barson bad dastak ki umeed lagaye kab tak jete qaisar hum kal ka wada karne wale milne aye barson bad

Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do, Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray, Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko, Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha, Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma, Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha….! (Dedicated to Pakistan Army)

Chhoo Lain Aasma?an Hum Aao Bantain Khushiyan Har dil ka Hai Armaan Pakistaan, Hamari Jaan Hai is par sab Qurbaan Pakistaan, Hamari Jaan Zinda Hain JazzBay Humko Yaqe?en Hai Saaray Jaha?an mein Hum sa Nahin Hai..! Jeetain gay Har Damm Hai ye Eemaan Pakistaan, Hamari Jaan Hai is par sab Qurbaan Pakistaan, Hamari Jaan Khush?haliya?an hon Har soo Humaray Utrain Yahan par Sb Chand Taaray Hai pyari Dharti Apni Pehchaan Pakistaan, Hamari Jaan Hai is par sab Qurbaan Pakistaan, Hamari Jaan Chhoo Lain Aasma?an Hum Aao Bantain Khushiyan Har dil ka Hai Armaan Pakistaan, Hamari Jaan Hai is par sab Qurbaan Pakistaan, Hamari Jaan

Haathon Mein Haath Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan Apni Zameen Hai, Apna hai aasman Aaein gay ghum, Aayay gi khushi Manzil Chahay, Mushkil Sahee Aagay Barhoo Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan Apni Zameen Hai, Apna hai aasman Aangan aanagan khushiyan manaein Apni zameen ko milke sajaein yehi hai dua Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan Apni Zameen Hai, Apna hai aasman Wada karo, saath chalain Irada karo, saath jeeain Yunhi Sada Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan Apni Zameen Hai, Apna hai aasman Veeran rahain, Raushan banaein Bhatkay huoon ko, rasta dikhaein Jeenay ka Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai teray bazo?uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi teri abro?uon ki junbash teri ankh ka ishaarah teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi