Sachai k raste pe hi chalna hai muje noor, Dunia ho mere sath zarori to nahin hai.

Nahi Aitbaar Mujhe Kisi Per Har Koi Pyar Mein Farebi Hai,’dost’ Mujhe Fakhar He Apni Tanhai Par Jis Ne Mujhe Kabhi Tanha Nahi Chorra..

Ehsaas nahin tha ke tanhaa hoon mein aaj kal, Tu ne sawaal chairr kar achaa naheen kiya..

Jee bhar ke badnaam ho gaye, Haq adaa hua jawaani ka..

Yad-e-mazi azab hai ya rabb, Cheen ley mujhsey hafiza mera..

Maine dekhe huye hain woh lamhe, Khamoshi jab kalaam karti hai..

Andheri Raat Ka Safar Bhi Khoob Tha Lekin, Tum Aaye To Charaghon Mein Roshni Kar Li..

Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon, Tanhai Ne Tanhai Me Tanha Mera Sath Diya Hai…

Dard Me Koi Mausam Pyaara Nai Hota Dil Ho Pyasa To Pani Se Guzara Nai Hota Koi Dekhe To Hamari Bebassi Hum Sab Ke Ho Jate Par Koi Hamara Nahi Hota

Main apni tanhaayion se tang aa kar, Bohat se aayine khareeed laya hoon..

Koi veerani si veerani hai, Dasht* ko dekh ke ghar yad aya.. (Dasht;desert)

Ye Ehsaas hamri jaan na lele, Abhi zinda hai hum, kisi k khayalon me kahin.

Kissi ke shor se jaaga kare koi kahin, Kahin khamoshi kisi ko sone nahi deti..

Akele To Hum Pehle Bhi Jee Rahe The Kyu Tanha Se Ho Gaye Hai Tere Jane Ke Baad

Meri Tanhayi Ko Mera Shoq Na Samjhna, Bohat Pyar Se Diya Hy Yeh Tohfa Kisi Nai..