Sabhi log shareek they janazey mein uskey, Tanhayiyon ke khoff se jo shakss mar gaya…

Ay Dil! Qasam Se Koi Nahi, Koi Nahi, Koi Nahi, Yaqeen Jaano Darwaza Faqat Hawa Se Khula Hy..!

Aehteyatan dekhta chal apne saaye ki taraf, Is tarah shayed tujhe ehsas-e-tanhai na ho…

Aehteyaatan dekhta chal apne saaye ki taraf Is tarah shayd tujhe ehsaas e tanhai na ho…

Sochta hoon ke bhujaa doon main yeh kamre ka diya, Apne saaye ko bhi kyon saath jagaaon apne..

Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai Pass Hain Har Oar Sannata, Tanhai Muskurai Hai

Apne mizaaj se mein khoob waqif hoon Mohsin, Thore logon se milta hoon, magar mukhliss ho kar..

Qiyamat hai dil e mehjawar ka ehsas e tanhai, Akele abb to hum aksar bhari mehfil me rehte hain.

Tum paas naheen ho to ajjab haal hai dil kaa, Yoon jese main kuch rakh ke kahin bhool gayi hoon..

Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta, Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao..

Ehteyaat’an dekhtaa chal apne saaye ki taraf, Iss tarah shayed tujhe ehsaas-e-tanhai na ho..

Har baar woh kyon mujhe Chorr jata hai tanha, Mein mazboot to bohat hon, Magar pathar nahin…

Kya jaaniye ke itni udaasi thi raat kyon, Mehtaab* apni qabar ka pathar laga mujhe.. (mehtaab;moon)

Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e-tanhai, Akele ab to hum aksar bhari mehfil mein rehte hain..

Mughay Itna Na Yaad Aao Ke Khud Ko Tum Samaj Bethun Mughay Ehsaas Rehne Do, Meri Apni Bhi Hasti Hai..!