Tujhe rozz dekhoon kareeb se, Mere shauq kitney ajeeb se..

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do, Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do! Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain, Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do! Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao, Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do! Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki, Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do, Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe, Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do! Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo, Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do! (Bayan:Express)(Dastan:Story)(Be-Zuban:Vocally Challenged)

Kis Tarha Dekh Rahy Ho Mujhey..?? Tumhari Apni Hoon Tasalli Rakho..!!

Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar, Jaan lene ke tareekey to aur bhi hain..

Kaun kehta hai ke ishq ghamgeen hai, Agar Ho wafaa to zindagi haseen hai..

Itni sardi hai pass kuch bhi nahin, Aao ik doosre ko aurrh lain hum..

Teri aankhen sawaal karti hain, Meri himmat jawaab deti hai..

Kaha Maine Ke Kab Yeh Zindagi Khushboo Lagi Tum ko ??? Woh Bola Be-Khayali Main Tujhe Jab Chhoo Lia Maine …!!

Kon jeetey ga un se baton me, Jin ki ankhen kalaam karti hon..

Chhor duniya ke sab jhamelo’n ko, Aa mere dil pe hukmaraani kar..

Uff teri masst adaayein, yeh shokhpan, Kirnon ko bhi chooney na doon badan tera..

Mohabbat karke dekho to Mohabbat kya nahi karti Mohabbat khud bhi hoti hai Mohabbat khud hojaati hai Mohabbat khud banati hai Mohabbat khud bhi banti hai Mohabbat khud bhi andhi hai Mohabbat andha karti hai Mohabbat jhuk bhi sakti hai Mohabbat jhuka bhi deti hai Mohabbat khud bhi nafrat hai Mohabbat Pyaar bhi karti hai Mohabbat Pyaar hai Dil ka Mohabbat esaar bhi karti hai Mohabbat kaam hai dukh ka Mohabbat naam hai sukh hai Mohabbat naam hai is ka Mohabbat is hi ko kehte hain Mohabbat karke dekho to Mohabbat kya nahi karti

Teri surat se nahin kisi ki surat milti, Hum jahan main teri tasveer liye phirte hain..

Tum ko dekha to mohabbat bhi samajh mein ayi, Warna is lafz ki tareef suna kartey they..

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain