Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki, Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..

Kiyu har baat pe koste hain log december ko ?? Kiya december ne kaha tha mohabbat karo !!

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hy, Phr Toot Ke Wo Yaad Aaya Ajeeb December Ki Ye Raat Hy…

Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua, Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi…

Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar, Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..

Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil, Andaaz acha hai december tere aaney ka..

Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay, Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy

Boht barasta tha na ye December bhi.. Lagta hai ab isey bhi pyar ho gaya…..!

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya, Tujhe Dekhe Baghair Jaana December Guzar Gaya…!!

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam, sulagta raha dil ke andar akeley, Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke, Magar guzarta nahi ab December akeley..

Yaad dilaata hai sardd mausam, Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..

December ageya jaana, Ke phir ek saal, Teri yaad ke samandar mein, Utar kar jane wala hai, Yeh dil phir roney wala hai, Tumhe kuch yaad hai jaana, Isi pichle december mein, Tumhi ne mujh ko likha tha, Ke neya jo saal aye ga, Us mein mil ke rehna hai, Bohat se pyar ke vaadey, Bohat si ankahi baten, Humain tehreer karni hain, Mohabbat ki neyi nazmein, Humein is baar likhni hain, Magar janaa, Wohi raten, Wohi shaamen, Wohi khushbu, Wohi nazmen, Mujhe har waqt kehti hain, December loat aya hai, Magar, tera sathi nahin aya, December ageya jaana.. December ageya jaana….

Teri khusbo ka taqub karo mosam mosam tu mery hath mai aye tu hawa ho jaon

Zara si dair decenber ki dhop me daithen, Ye fursaten hamen shaid na agale saal milain.